ya ali ya aeyliya ya bul-hasan ya bu-turaab
bhai mera qatl huwa aaiye baba shitaab
bul hasan ya bu turab
lo phayl gaya shaam-e-gharebaan ka andhera
asbaab luta jal gaya saadaat ka khaima
be gor-o-kafan ran may hai shabbir ka laasha
sab maare gaye dasht may zainab huwi tanha
asghar-e-baysheer ko ronay lagi umm-e-rabaab
bul hasan ya bu turab
ya ali ya aeyliya….
haaye wo behan jiske ho atthaara biraadar
aur baap bhi jis beti ka ho faatahay khybar
narghay may layeeno kay wo mazloom khule sar
kaise na karay nauha wo phir khaak udaa kar
nauha kuna khuld may hai rooh-e-risalat muaab
bul hasan ya bu turab
ya ali ya aeyliya….
maari gayi ek roz may sub fauj-e-hussaini
har lamha musibat thi nayi hum ne jo dekhi
be monis-o-ghamkhwar thay yaawar na tha koyi
tha asr ka hangaam ke aawaaz ye goonji
mara gaya hyder ka pisar dashat may be aab
bul hasan ya bu turab
ya ali ya aeyliya….
ab baali sakina ko sata-tay hai sitamgar
kuch kar nahi sakti kay rasan basta hai maadar
paaband-e-salaasil hai mera abid-e-muztar
zainab kay kalayjay pe chalay zulm kay khanjar
kya karoon baba mere may dijiye kuch to jawaab
bul hasan ya bu turab
ya ali ya aeyliya….
katke jo giray khaakh pe abbas ke baazu
ruktay hi na thay aankh may shabbir ke aansoo
mai khaime may roti thi wo rotay thay lab-e-soo
matam hi tha matam hi tha matam tha hi tha har soo
kehtay thay shabbir kay ya laitani kuntum turaab
bul hasan ya bu turab
ya ali ya aeyliya….
akbar ka jigar ho gaya barchi say do paara
aur asghar-e-masoom bhi maara gaya pyaasa
tukde huwa maidaan may naushah ka laasha
mara gaya wo sher jo tha sab ka sahaara
aun-o-mohammad ka mila khaakh may kaisa shabaab
bul hasan ya bu turab
ya ali ya aeyliya….
asghar ko laga teer mai roti rahi baba
maaray gaye shabbir mai roti rahi baba
hastay rahay be-peer mai roti rahi baba
Sheh pe chali shamsheer mai roti rahi baba
dekhiye pardes may kismat huvi meri kharaab
bul hasan ya bu turab
ya ali ya aeyliya….
rehaan bahot ho-chuki ab ashq fishani
zainab pe musibat ki ye purdard kahani
sab ehl-e-azaa sun chuke sarwar ki zubani
thamti hi nahi aankhon say ashqon ki rawaani
kaun sunay qissa-e-gham kis may rahi itni taab
bul hasan ya bu turab
ya ali ya aeyliya….
Comment