ALI SAFDAR | BARCHHEE KA ZAKHM | ALBUM 2021 | 1443 |

 

 

 

Haye Akbar as Haye Akbar as

Barchee ka zakham kha kar run me giray hain Akbar as

Maa ne kalaija thama dhori phopo tarap kar

 

Ghoray say girty girty akbar as pukartay han

Baba salam akhir mera qabool kar lain

sun kar sada pisar ka dhoray han run ko sarwar

 

 

Kia zulam karbala me dhaya sitamgaro ne

Hum shakal Mustafa SAW k0 mara hai zalmo ne

Hai khako khoon me ghaltah aksay rookh payambar saw

 

 

Albar as ki lash uthany shabir ja rahy han

Har har qadam me thokar maidan me kha rahy han

Khamay ke dar say madar ye dakhti hai mazar

 

 

Jab uth saka na lashay e shabbir se pisar ka

Tahreer kis tarhan say ho jo hal tha pidar ka

Mayat jawah ki laye bacho ke sath mil kar

 

Rokh kar ke soye yasrab zainab sa ne ye sada di

Qatil ne NANA tari tasweer bhe mita  de

Ab khoof hai sar per baqi rahi na chadar

 

 

Ay kalma gohoo kch to kalma ka pass karty

Bughz e Ali as ne itna tm pasti me tm na girty

Sibat e Nabi SAW ko Mara kalma Nabi SAW ka parh kar

 

 

Baad e Rasool SAW ya Rab kia inqalaab aya

Ale Nabi SAW ko kaisa umaat ne hai sataya

Bikhray howay han Raan me Zahra sa ke lal o gohar

 

 

Ab tak zafar sada e mazloom a rahi ha

Ye karbala hazir tm ko bula rahi ha

Kano me gunji hai ab tak azan e Akbar as

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *