Bazaar E Shaam Mein Yeh Kehti Thi Binte Haider
Mera Nana Hai Muhammad Maan Izat E Rab E Akbar
Main Waris E Tatheer Hun Aur Malik E Taqdeer Hun
Ali Ki Beti Hoon Main Abbas Ki Hun Behan
Sath Kunby Ko Thi Laai Chorhy Kar Apna Watan
Ali Ki Beti Hoon Main Abbas Ki Hun Behan
Meri Madar Hain Woh Jo Dukhtar E Payambar Hain
Usi Ka Karbobala Mein Luta Bhara Ghar Hai
Hum Ko Pehnaye Hain Nana Ki Yeh Ummat Ny Rasan
Ali Ki Beti Hoon Main Abbas Ki Hun Behan
Baad Shabbir Suno Deen Ki Tanveer Hun Main
Tukrhy Batil Ky Kary Gi Jo Woh Shamsheer Hun Main
Alam Islam Ka Sar Py Hai Mery Saya Figan
Ali Ki Beti Hun Main Abbas Ki Hun Behan
Dhundty Ho Jo Namazon Mein Rasta Hum Hain
Qubool Jis Sy Dua Ho Woh Wasta Hum Hain
Hum Hain Quran Ky Paary Hum Hi Hain Is Ka Matan
Ali Ki Beti Hun Main Abbas Ki Hun Behan
Hum Hi Fil Qurba Ki Ayat Hain Innama Hum Hain
Waris E Deen E Khuda Khoon E Mustafa Hum Hain
Hum Ko Batil Hai Mitana Go Hain Yeh Raahen Kathan
Ali Ki Beti Hun Main Abbas Ki Hun Behan
Pyasay Karbal Mein Mery Bhai Bety Maar Diye
Kis Tarah Aal E Umayya Ny Hum Sy Badly Liye
Karbal Mein Hai Nikali Badar O Ohad Ki Jalan
Ali Ki Beti Hun Main Abbas Ki Hun Behan
Jaa Ky Darbar Mein Khutby Suna Gai Kaisy
Ali Ki Beti Hai Deen Ko Bacha Gai Kaisy
Yad Rakhy Ga Yeh Khursheed Sada Charkh E Kohan
Ali Ki Beti Hun Main Abbas Ki Hun Behan
Sath Kunby Ko Thi Lai Chorh Kar Apna Watan
Ali Ki Beti Hoon Main Abbas Ki Hun Bahan
Bazar E Sham Mein Yeh Kehti Thi Bint E Haider
Mera Nana Hai Muhammad Maan Izzat E Rabb E Akbar
Comment