Haye ali, haye haye ali..(2)
Behta hai khoon e haider, koofe mein karbala mein
Zehra ka ghar luta hai, haaye rahe khuda mein
koofe mein karbala mein
behta hai…
1. Ek fajr par hai sajda, ek sajda asr par hai
ek simt par hai beta, ek simt pe padar hai
kya fark hai batao, dono pe is jafa mein
koofe mein karbala mein
behta hai…
2. Koofe mein murtaza ki, beti pe hai yatimi
shabbir ki yatima, karbobala mein ujdi
hai zainab o sakina, ek dard ki fiza mein
koofe mein karbala mein
behta hai…
3. Kulsoom aur zainab, padhti rahi hai nauha
baba ko zakhmi dekha, bhai ko zakhmi dekha
manzar hai ek jaisa, is dehr e bewafa mein
koofe mein karbala mein
behta hai…
4. Maloom tha ali ko, sajda na hoga pura
sarwar ko bhi pata hai, ab aakhri hai sajda
sar ko jhukaya phir bhi, taazeem e kibriya mein
koofe mein karbala mein
behta hai…
5. Haye, qasim ke ho wo tukde, ya ho gulu e asghar
akbar ka ho wo seena, ya baazu e dilawar
imraa’n ka khoo’n baha hai, haye bughze murtaza mein
koofe mein karbala mein
behta hai…
6. Salmaan aur meesum, tareekh hai batati
guzri hai zindagi bas, aulad e sayyeda ki
matam mein murtaza ke, shabbir ki azaa mein
koofe mein karbala mein behta hai…
koofe mein karbala mein..(2)
Comment