Abbas Abbas
Jab Mashk E Sakina Pe Laga Teer Sitam Ka
Abbas Abbas
Bikhre Huwe Lashon Ne Kaha Haye Hussaina
Abbas Abbas
Be Dast Alamdar Ko Be Deeno Ne Mara
Ghore Se Gira Khak Pe Saqa E Sakina
Darya Pe Utha Shor Alamdar Alamdar
Saqa E Haram Syed O Salar Alamdar
Abbas Abbas Abbas Alamdar
Darya Pe Utha Shor Alamdar Alamdar
Jane Se Tere Sheh Ki Qamr Toot Gai Hai
Abbas Tera Rasta Bahen Daikh Rahi Hai
Shabbir Huwe Jeene Se Bezaar Alamdar
Abbas Abbas Abbas Alamdar
Darya Pe Utha Shor Alamdar Alamdar
Pohnchi Ye Khbr Khema E Shabbir Main Jis Dum
Shabbir Qamr Tham Ke Karne Lage Matam
Yeh Bain Kiye Ae Mere Ghumkhar Alamdar
Abbas Abbas Abbas Alamdar
Darya Pe Utha Shor Alamdar Alamdar
Hathon Main Liye Kooz Tarapte Rahai Piyase
Aur Piyason Ke Halqe Main Sakine Ke Thay Naale
Piyason Pe Fida Hogaya Ghamkhar Alamdar
Abbas Abbas Abbas Alamdar
Darya Pe Utha Shor Alamdar Alamdar
Saadat Ko Jab Lootne Ayain Gai Sitamgar
Phir Kon Bachaye Ga Teri Behna Ki Chadar
Aja Meri Chadar Ke Nigehdaar Alamdar
Abbas Abbas Abbas Alamdar
Darya Pe Utha Shor Alamdar Alamdar
Bain Sakina Ne Kiya, Haye Alamdar E Hussain
Nahar Se Ajao Chacha, Haye Alamdar E Hussain
Karti Hun Main Yeh Ilteja, Haye Alamdar E Hussain
Mujhe Na Tarpao Chacha, Haye Alamdar E Hussain
Bazuye Saqae Haram, Haye Alamdar E Hussain
Jab Huwe Darya Pe Qadm, Haye Alamdar E Hussain
Rone Lage Shah E Ummam, Haye Alamdar E Hussain
Is Se Bara Nahi Sitam, Haye Alamdar E Hussain
Abbas Ke Nazdeek Nazdeek Shah E Wala
Sar Bhai Ka Yeh Kehte Huwe Goud Main Rakha
Tum To Meri Fouj Ke Saalaar Alamdar
Abbas Abbas Abbas Alamdar
Darya Pe Utha Shor Alamdar Alamdar
Aye Dharas E Shabbir Zara Ankhain TO Kholo
Hasrat Hai Ke Ek Baar Mujhe Bhai To Bolo
Kiya Yaad Hai Bachpan Ka Tumhe Pyaar Alamdar
Abbas Abbas Abbas Alamdar
Darya Pe Utha Shor Alamdar Alamdar
Qasim Bhi Gaye Aun O Muhammad Bhi Sudhare
Akbar Bhi Chale Jayain Gai Ab Bhi Tumhare
Koi Na Raha Saaya E Deewar Alamdar
Abbas Abbas Abbas Alamdar
Darya Pe Utha Shor Alamdar Alamdar
Daiti Thi Yahi Zainab E Dilgeer Duhai
Main Tere Sahare Pe Watan Chor Ke Aai
Kyun Chor Ke Jate Ho Wafadar Alamdar
Abbas Abbas Abbas Alamdar
Darya Pe Utha Shor Alamdar Alamdar
Ghazi Ki Shahadat Pe Qayamat Ka Tha Manzar
Kar Sakta Nahi Koi Baayaa’n Mesum O Mazhar
Alfaaz Ka Lashkar Hai Qalamkaar Alamdar
Abbas Abbas Abbas Alamdar
Darya Pe Utha Shor Alamdar Alamdar
Comment