unnisvi ki subh vo mahshar bapa hua
ati thi asman se jibreel ki sada
masjid me mustafa ka vasi qatl ho gya
Durhe saro ko pit te sibtaine mustafa
dekha ki khoo me lot te hai shaahe
mashriqain lipta k apne sine se roe ba shoro
shain pahle namaziyo ko parhayi namaz phir masjid
se le ke baba ko nikle hasan husain koi zainb
ko tham le ja kar ghr me baba ko la rahe hai
husain hoga barpa abhi yaha mashar……
Ghum me baba ke ro rahi hogi hosh apne vo kho
rahi hogi haye a jaye na vo deyorhi par arsh vale
pacharhe khate hai chand tare bhi thartharate
hai subha aee hai aaj noha gar ghr me baba..
dil pe sadme sabhi utha lunga kaise zainab
ko me sambhaluga sochte ja rahe hai ye shabbar……
pyar krne ko nana jan nhi haye amma ka sayeban
nhi kon dharas bandhayega badh kar ghr m baba….
tegh zalim ne aisi mari hai zakhm sar ka bahut hi
kari hai koi jakr bicha de ik chadar… ghr m baba…
zakhm sar ka na dekh payegi vo pacharhe zaroor
khayegi kaise smjhayenge use jakr… ghr m baba….
raah me khoo tapakta jata hai or amama
latakta jata hai kaise thame dopara sar sarwar…
ghr m baba…… betiyo ki ajeeb hai fitrat hoti h
bap se barhi ulfat koi ahval kah na de jakrar ghr m baba….
darr pe aye ju hi shahe vala Ainee kohram ho gya
barpa koi Aamir ye khta tha rokr.. Ghar me baba….
Comment