Khula hai sabhi ke liye Baab-e-Rahmat
Wahan koi rutbe me adna na aali
Muradon se daman nahin koi khali
Kataren lagaye khade hain sawali
Main pahle pahal jab madeene gaya tha
To thi dil ki halat tadap jane wali
Wo darbar sachmuch mere samne tha
Abhi tak tasawwur tha jis ka khyali
Main ek hath se dil sambhale hue tha
To doosre hath rauze ki jali
Dua ke liye hath uthte to kaise
Na ye hath khali na wo hath khali
Jo poochha hai tumne ke main nazar karne
Ko kya le gaya tha to tafseel sun lo
Tha naaton ka ek haar ashkon ke moti
Daroodon ka gajra salamon ki daali
Dhani apni qismat ka hai to wo hi hai
Dayar-e-Nabi (saw) jisne aankhon se dekha
Muqaddar hai sacchaa muqaddar usi ka
Nigahen karam jis pe aaqa ne daali
Main us aastan-e-haram ka gada hoon
Jahan sar jhukate hain shahan-e-alam
Mujhe tajdaron se kam mat samjhna
Mera sar hai shayan-e-taj-e-bilali
Khula hai sabhi ke liye Baab-e-Rahmat
Wahan koi rutbe me adna na aali
Muradon se daman nahin koi khali
Kataren lagaye khade hain sawali
Comment