Jo ho chuka hai Jo Hoga Huzoor Jante Hain | Muhammad Owais Raza quadri | 2015

 

 

Jo ho chuka hai jo hoga, huzoor jante hain
Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain

Khuda ko dekha nahin aur eik maan liya
Ke jantay thay sahaba, huzoor jantay hein

Munafiqoon ka aqeeda woh gaibdaan nahin
Aur sahabiyoon ka aqeeda, huzoor jantay hain

Aie ilm e ghaib kay munkir Khuda ko dekha hai?
Aur tujhay bhi kehna padega, huzoor jante hain

Khabar bhi hai? ke khabar sabki hai unhein kab say
Ke jab na ab tha na kab tha, huzoor jante hain

Kai unke haath mein kya kya tujhe khabar na mujhe
Khuda nay kitna nawaza, huzoor jante hain

Woh mominoon ki to janoon say bhi kareeb huye
Kahan say kisnay pukara, huzoor jante hain

Isiliye to sulaya hai apne pehlu mein
Ke yaar e ghar ka rutba, huzoor jante hain

Umar nay tan say juda kar diya tha sar jis ka
Woh apna hai ke paraya, huzoor jante hain

Nabi ka faisla na maan kar woh jaan say gaya,
Mizaaj Umar ka hai kaisa, huzoor jante hain.

Wohi hai paikar e sharm o haiya o zul nuraian,
Maqaam unki haya ka, huzoor jante hain.

Hain jiske moula huzoor uske hain Ali moula
Abu Turab ka rutba, huzoor jante hain

Yeh khud shaheed hain, betay nawasay potay shaheed
Ali ki shaan e yagana, huzoor jante hain

Main unki baat karoon yeh nahin meri auqaat,
Ke shaan e Fatma Zahra, huzoor jante hain.

Jina mein kaun hain sardaar nojawanoon kay
Hasan, Hussain ke nana, huzoor jante hain

Malaika ne kiya youn to sajda Adam ko
Dar asal kis ko tha sajda, huzoor jante hain

Kahan marein gay Abu Jahal o Utba o Sheiba
Ke Jang e Badr ka naqsha, huzoor jante hain

Woh kitna fasla tha, aur kalaam tha kaisa
Aao adna aur ma aaoha, huzoor jante hain

Milay thay rah mein 9 bar kis liye Musa
Yeh deed e haq ka bahana, huzoor jante hain

Main chup khara houn Mawaja pay sar jhukaye huye
Sunaoon kaise fasana, huzoor jante hain

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *