Ambiyaa ko bhi ajal aani hay
Magar aisi keh faqat aani hay
Phir usi aan key baad un ki hayaat
Misle saabiq wohi jismaani hay
Rooh toh sab ki hay zinda un kaa
Jism e purnoor bhi roohaani hay
Auron ki rooh ho kitni hi lateef
Un key ajsaam ki kab saani hay
Paaun jis khaak pey rakh dein woh bhi
Rooh hay paak hay nooraani hay
Uski azwaaj ko jaaiz hay nikaah
Us ka tarkah bate jo faani hay
Yeh hain Hayyi abadi un ko Raza
Sidq e waa’da ki qazaa maani hay
Comment