Mir Hasan Mir | Bhichana Chor Dain Manqabat | 2015

 

Chod den..(2)
Hum bhala kis tarha Karbala chod den-chod den
Hum agar farshe aza Ghar Ghar bichana chod den..(2)
 
Aasmaa’n wale..(2) zami’n par aana jaana chod den..
Hum agar farshe aza Ghar Ghar…
 
1) Ay zami’n tujhme na ho gar sar zameen e Karbala..(2)
Chand aur sooraj tere chakkar lagana chod den..
Hum agar…
 
2) Nashr ho jayen Jo sab tere fazail Karbala..(2)
RABB E KAABAH ki qasam sab Hajj pe Jana chod den..
Hum agar..
 
3) PANJATAN A.S ne khud padhi hai jab to phir ay dosto’n,..(2)
Kis tarha se hum..(2) namaz e panjgana chod den..
Hum agar…
 
4) ASGHAR e MASOOM A.S  k lab par tabassum aa gaya..(2)
Phool kaliyo’n se..(2) kaho ab muskurana chod den..
Hum agar…
 
5) Sheikh ji ahle wila ko na samajh samjha hai kya..(2)
Tere kehne par..(2) wilayat ka khazana chod den..
Hum agar..
 
6) Waqt ruk jayega tham jayega sooraj ka safar,..(2)
FATEMA ZAHRA S.A agar chakki chalana chod den..
Hum agar…
 
7) Shauq se pee Len nusairy hubb e HAIDER A.S ki sharab,
Bas guzarish hai k pee kar ladkhadana chod den..
Hum agar…
 
8) Maatam e SHABBIR A.S me uthte nahi hain Jo kabhi..(2)
Hath Akbar aise logo’n se milana chod den..
 
Hum agar farshe aza Ghar Ghar bichana chod den..

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *