Zahra sa ki pisar ki amad per youn jasahn manaya jata ha
Honton py tabasum ata ha ashko ko chupaya jata ha
Mansoob jo din ho Mola as say is tarhan say manaya jata ha x2
Dunia me jaragha hota ha jannat ko sajaya jata ha
youn zairay saya e mahndi e haq shaban manaya jata ha x2
Amal saware jaty han kirdar banaya jata ha
sab kch hi hamay mil jata ha ek babul hawaij as ghazi say
dar ki wosat ko dakh kar hi daman phaalaya jata ha
aye kash bas yahi maqsa ho shaban ki har ek mahfil ka
ya nafas ko mara jata ha insan banaya jata ha
socha ye kabhi kia ahly aza hai nusrat e mahdi me tayar
kia ho ga agr a jaye jisay har roz bulaya jata ha
hum farsh e aza say jannat ki tameer me hisa laitay han
ek ashak bahaya jata ha ek kasar banaya jata ha
qasim ne kaha kia moot ka dar
ye sahad say barh kar hai mithi
es tarhan shahadat ka jazba seeno me basaya jata ha
zahra sa ke pisar ye mahfil iman e amal ki ye manzil
gardan hi nai jukhti yahan dil ko be jukhaya jata ha
jebleel paraon ko phalaye is dhardi per a jaty han
ek nar e haider as dunia me jis waqat lagaya jata ha
insan k ander jari ha har waqat qamar ek nafas ki jang
is karbo bala me jisam nai iman bachaya jata ha
zahra sa pisar ki amad per youn jashan manaya jata ha
Comment