YA Hussain as Ya Hussain as
matam ki sada sy dar o diwar hilla do
ye paigam zamany ko suna do
matam ki sada sy dar o diwar hilla do
hota 100 saal sy yahi jari ye silsila
koshis yaziyat ne ki ye na ruk saka
is door ke yazeed ko ye baat bata do
matam ki sada sy dar o diwar hilla do
fikar e khuda ne hum ko ye gham dy aia
dunia me zinda rahny ka maqsad ata kia
ab lazmi ha hazrat hur khud ko bana lo
matam ki sada sy dar o diwar hilla do
seena bhe hamara ha hamara he hath ha
takleef dosro ko ha hairat ki baat ha
be khoof matam e shabeer saja do
matam ki sada sy dar o diwar hilla do
zainab sa ne sikhye ge azadari shabbir as
har bar luta jis pay chini chadr e tatheer
zahra sa ke gharany ka ye ahsan do
matam ki sada sy dar o diwar hilla do
ye rasam nai ha na ye dikhywa ha koi
ye ek haqeeqat ha tamasha nai koi
soye howy azhan kab is sy jaga do
matam ki sada sy dar o diwar hilla do
ye matam e shabbir ha ahsan ha khuda ka
har door ke yazeed ke moo per ye tamacha
zulmo taqi ko in ki tamazo sy gira do
matam ki sada sy dar o diwar hilla do
banti ha ye azadar shabir ye sahary
rahbar ne kaha pass ha kch b to hamry
ye azam ye jurat sab ko bata do
matam ki sada sy dar o diwar hilla do
har namazi namaaz waqat pay ada krta
krta ha azadari namazy b ha partha
sun kar azan sajdy me sar apna jhuka do
matam ki sada sy dar o diwar hilla do
noha me ali deep wo taseer nai ha
har is me biyan saky shabir nai ha
paigm ye har door ke shayar ko suna do
matam ki sada sy dar o diwar hilla do
Comment