Haye Shaam Qaidi Imam
Karriyon Ki Thi Har Soo Sada Jab Sham Ko Abid Chala
Berriyaan Roi Kabhi Paon Ky Chaaly Roye
Kaisa Qaidi Tha Jisy Siskian Naaly Roye
Berriyaan Roi Kabhi Paon Ky Chaly Roye
Jin Ki Har Cheez Thi Tabeh Malik E Amr E Khuda
Jin Ko Matloob Zamanay Mein Thi Khaliq Ki Raza
Taoq Roya Hai Unhen Rassian Ky Haaly Roye
Berriyaan Roi Kabhi Paon Ky Chaly Roye
Jab Katy Nehr Kinaray Thy Bazoo E Abbas
Sath Bachon Ky Gai Toot Thi Masooma Ki Aas
Dekh Kar Tanha Alam Khali Woh Pyaray Roye
Bairhian Roiin Kabhi Paon K Chalay Roy
Balwa E Aam Mein Thi Waris E Tatheer Kharhi
Lagi Sajjad Ki Ankhon Sy Thi Ashkon Ki Jharhi
Naizon Py Dekh Ky Yeh Naazon Ky Paalay Roye
Berian Roi Kabhi Paon Ky Chalay Roye
Chid Gaya Teer E Sitam Sy Nanhy Asghar Ka Gala
Zindagi Roti Thi Us Ko Aur Roti Thi Qazaa
Jab Usy Qabr Ky Shah Kar Ky Hawaly Roye
Berriyan Roi Kabhi Paon Ky Chhalay Roye
Seh Ky Baba Ki Judai Qaid E Zindaan Sahi
Ho Ky Paband Jo Ta Marg Andhairon Mein Rahi
Roya Sajjad Usy Din Ky Ujaaly Roye
Berriyaan Roi Kabhi Paon Ky Chaalay Roye
Sab Shaheedon Ky Parhy Tan Thy Juda Sar Thy Juda
Hua Khursheed Tha Jab Qafila Karbal Sy Widaah
Waqt E Rukhsat Thy Barhy Karbala Waly Roye
Berriyaan Roi Kabhi Paon Ky Chaalay Roye
Comment