Aza ka raasta hi siraat e mustaqeen hai
Siraate mustaqeem hi aza ka raasta hai Bichaogay
jo farsh e ghum duein deingi Fatima
Barozs hashr dekh na balaein lengi Fatima Karo
ye kaare haq ada ke ajr deingi
Fatima Ajrokum Ala Zahra x2
Mawalaati Mawalaati Mawlaati Ya Zahra
Ya Zahra Ajrokum Ala Zahra X2
1) Inkaar e shahe deen mein hai dam deen e khuda
ka Ab sar nahin ho sakta hai kham deen e khuda ka
Hai majlis o matam se bharam deen e khuda ka
Ooncha hau isi ghum se alam deen e khuda ka
Saari dunya ko bataengay ye hum Baais e azm hai
Shabbir ka ghum Chorus
4) Jab farshe aza e shahe mazloom sada de
Jab waqt e musibat koi maghmoom sada de
Ya dehre mein haq se koi mehroom sada de
Ya apna samjhkar koi masoom sada de Ya Ali
kehke barhadijiey haath Dauriye naraey labbaik ke saath Chorus
5) Har ek ko nahin milta ghumme sibte payamabar
Har aankh ka ansoon bhi nahin hota hai
gauhar Ashoor ke din keh gaye ye hurre
dilawar Har koi nahin hota muqaddar ka sikandar
Aadmi bas wo sharaf paaeyga Sar jhukakar
jo idhar aaeyga Chorus
6) Nafson ki taharat ke liye kijeay matam Mazloom
se qurbat ke liye kijeay matam Zalim ki mazammat ke
liye kijieay matam Makhsoos ibadat ke liye kijeay matam
Zindagi deedae purnam ke liye Waqf
kar deejeay matam ke liye Chorus
7) Shabbir se hai pyaar to izhaar bhi kijeay
Iszhar mein lazzat hai sare daar bhi kijeay
Beyyat jo koi maange to inkaar bhi kijieay
Ye kaare numaya sare darbaar bhi kijieay
Zinda rehne ki tamana hai agar Ishq mein
jaan ki parwaah nahin kar Chorus
8) Bachhey ko yeh maan kehtay huay karti hai
taiyyar Dunya mein tera naam ho ay haq ke
parastaar Rauzon ki taraf aankh uthaeyn na
jafakaar Daaish ki kamar tor deyn ay sheh
ke azadar Kaar gar ho na sitam gaar ka waar
Baand le sar se kaffan phir ek baar Chorus
9) Ashoor ki shab shamma jo sarwar ne
bujhaee Har chahanay walay ko nazar
aai khudaai Aapas mein yehi kehtay thay
sab haq ke fidaaee Kiya is ke siva dein koi
chaahat ki safaai Koi shikwa ya shikayat na
karein Jo jahan baitha hai wo baitha rahay Chorus
10) Asif ghume sarwar mein kalam jabbhi chalao
Kiya maqsade shabbier hai dunya ko batao
Paigham shahe deen ka Mahum jo sunaao Mazloomeye
shabbier ka ahsaas dilaao Haq ki tehreek na rukne paaye Jaan jaati hai to be shak jaaey
Comment