ALI SAFDAR | AEY FATIMA KAY LAL as | 2020/1442

 

Ya fatema zehra..

Seene me liye ranj o alam karbobala ka.

Ya fatema zehra…

Baba se hai milne ko chali umme abiha.

Ya fatema zehra…

Ankho se lahoo bahta hai pehlu hai shikasta

Ya fatema zehra…ya umme abiha…..

Ya fatema zehra..

Ya fatema zehra…pehlu e shikasta…..

Ya fatema zehra…

Ya fatema zehra…ya umme abiha…..

Ya fatema zehra…ya umme abiha…..

Ya fatema zehra..

Ya fatema zehra…pehlu e shikasta…..

Ya fatema zehra…

Ummat ne bohut aapko tadpaya hai bibi

Har haq k liye aapko tarsaya hai bibi

Ghasib ne jo darbar me bulwaya hai bibi

Is dukh se larazne laga khud arsh khuda ka

Ya fatema zehra..

Ya fatema zehra.

Shabbir ki duniya me wiladat se bhi pehle

Kehti thi ye zehra ke bohut sehti hu sadme

Bachha ye mera kok me bechaen bohut hai

Bachha mera kehta hai ke amma mai hu pyasa

Ya fatema zehra..

Ya fatema zehra..

Maa khana khilati hai to phir khate hai bache

Jaati hai jahaa’n maa wahi aajaate hai bachhe

Bin maa ke kabhi chaen nhi paate hai bachhe

Kaam aata hai bachho pe bohut maa ka sahara

Ya fatema zehra..

Ya fatema zehra.

Seene me azal se hi mere karbobala hai

Jaate hue zehra ne yeh duniya se kaha hai

Kya shaam me hona hai ye sab mujhko pata hai

Kat te hue sehra me hai shabbir ka lasha..

Ya fatema zehra..

Ya fatema zehra..

Duniya se chali kehti hui binte payambar

Gham karbobala ka hai liye ye dil e muztar

Aata hai tasawur me mere shaam ka manzar

Allaha rakhe zainab o kulsum ka parda

Ya fatema zehra.

Ya fatema zehra.

Ye kaam raha sadiyo se bas ahle azaa ka

Pyaso ke liye behta raha ashqo ka dariya

Shabbir ka pursa diya zehra ko hamesha

Shabbir ko do madar e shabbir ka pursa

Ya fatema zehra.

Ya fatema zehra.

Maao se azaadaro ki zehra ne kaha hai

Aashur ke maqsad ka bharam tumne rakha hai

Bachho ko azaadari par qurbaan kiya hai

Mehshar me chukaungi mai karzaa ye tumhara

Ya fatema zehra.

Ya fatema zehra.

Ab dilse “qamar” waris e zahra ko bulao

Paamaal ye marqad pe bohut ashq bahao

Ai muntakim e karbobala parda uthao

Mohsin ki lahad par gaya pehlu e shikasta

Ya fatema zehra.

Ya fatema zehra

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *