Momino Bekas-O-Lachar Huwe Ahl-E-Haram
Aafaton Mein Yun Giragtar Huwe Ahl-E-Haram
Kuch Rida’on Ke Talabgar Huwe Ahl-E-Haram
Pesh Hae Sar-E-Bazar Huwe Ahl-E-Haram
Aal-E-Yaseen Par Umat Ki Jafa Kaari Hai
Sang Bari Se Aseeron Ka Lahu Jaari Hai
Na Maaro Khudara Na Maaro Pathar Inko Na Maaro X2
Aey Bughz-E-Ali(A.S) Ke Beemaron Pathar Inko Na Maaro
Na Maaro Khudara Na Maaro Pathar Inko Na Maaro X4
Tum Khud Ko Musalman Kehta Ho Pehchano Nabi Ki Hurmat Ko
Pamaal Karo Na Parion Se Yun Deen-E-Khuda Ki Azmat Ko
Ye Aal-E-Nabi Han Badkaaron Pathar Inko Na Maaro
Na Maaro Khudara Na Maaro Pathar Inko Na Maaro X4
Hai Bint-E-Ali (A.S) Bazaron Mein Be-Maqna-O-Chadar Wawela
Aur Sath Rawaan Hain Pyaron Ke Naizon Pe Rathey Sar Wawela
Umat Ke Sitamgar Khoon-Khuwaro Pather Inko Na Maaro
Na Maaro Khudara Na Maaro Pathar Inko Na Maaro X4
Abbas (A.S) Dilwar Ki Behnein Hae Hath Bandha-E-Gardan Mein
Na Pak Nighaon Se Apne Baalon Se Chupati Hain Chehre
Bar ‘Badiyan Ko Na Lalkaro Pathar Inko Na Maaro
Na Maaro Khudara Na Maaro Pathar Inko Na Maaro X4
Be Jurm Musafir Qaidiyon Ko Har Tarha Aziat Detey Ho
Saadat Pe Sadqa Phentey Ho Sharbbir (A.S) Ko Bhaghi Kehtey Ho
Aey Deen-E-Khuda Ka Ghadaron Pathar Inko Na Maaro
Na Maaro Khudara Na Maaro Pathar Inko Na Maaro X4
Behta Hai Lahu Bazaron Mein Beemar Ki Zakhmi Aehriyon Se
Har Aek Qadam Par Ati Hai Awaz Deh’ Kti Berhriyon Se
Dozakh Ke Deh’kte Angharon Pather Inko Na Maaro
Na Maaro Khudara Na Maaro Pathar Inko Na Maaro X4
Ik Dars-S-Amal Hai Maan Behno Bazaar Mein Aana Zainab (A.S) Ka
Niklo Na Gharon Sy Be-Parda Aae Kahin Mola (A.S) Ki Sada
Kirdar Se Apne Ghum-Khuwaro Pathar Inko Na Maaro
Na Maaro Khudara Na Maaro Pathar Inko Na Maaro X4
Naize Pe Tilawat Karta Tha Sar Shah-E-Shadeedan Ka Mazhar
Bazaar-E-Hameediya Mein Safdar Sajjad(A.S) Ye Kehte They Ro Kar
Aey Kehr-E-Khuda Ke Haqdaron Pather Inko Na Maaro
Na Maaro Khudara Na Maaro Pathar Inko Na Maaro X4
Comment