Chale Aao Ae Ibne Mushkil Kusha | Mesum Abbas Munajat Imam e Zamana | Manqabat 2020

 

Ya Maulana Ya Sahib az Zamaan
Al gauth, Al gauth, Al gauth
Adrikni, Adrikni, Adrikni
As-sa’ah, As-sa’ah, As-sa’ah
Al-ajal, Al-ajal, Al-ajal

Bulaate Hain RoRo Ke Ahle Aza
Chale Aao Ae Ibne Mushkil Kusha

Tumhe Haq e Zehra Ka Hai Wasta
Chale Aao Ae Ibne Mushkil Kusha

Hai phaili Jahan men ajab se waba
Ata sare Alam ko kije shifa
Waseela Hain bimare karbobala

Khuda ki shariat ka dilshad ho
Ye weeran Kaaba phir abaad ho
Lagane Alam is pe Abbas ka

Hon ham pichhe pichhe tum aage chalo
Naseeb arbaein ayk aisa bhi ho
Tumhari qayadat men ho qafila

Jise dekhiye hai parisha’n yahan
Ye waqte Karam h imame zama’n
Karo har sawali ki hajat rawa

Mera khwab bhi mahve tabeer ho
Ai Mola baqayya ki tameer ho
Labon par musalsal yahi h dua

Mareeze Mohabbat Tarapta Rahay,
Magar Tera Deedar Kar na Sake,
Bhala Aisa Jeena Bhi kis kaam ka

Hamarey amal me dikhawa na ho
Muhabbat ka bas jhoota dawa na ho
Phir ashkon ke lab khud ye denge sada

 Zamane men hote huye apke
Kahen apni roodad Kyu ghair se
Meri ghairaton ki tumhi ho ana

Tumhi to zamane ke ho charagar
Meri mujhse behtar tumhe h khabar
Kahun Kya Mai Hale dile ghamzada

Hilal aur Mesum ki h iltija
Tumhari zaba’n se ai Kash ek dafa
Sunen hm bhi rote huye nahiya

Bulaate Hain Ro Ro Ke Ahle Aza
Chale Aao Ae Ibne Mushkil Kusha

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *