Hasbi Rabbi Jallallah | حسبی ربی | Muhammad Owais Raza Qadri | 2018

 

Tere Sadqe main Aaqa
Saare jahaan ko deen mila
Be-deeno ne kalma parha
La ilaha illallah

Simt e Nabi Bu-Jehal gaya
Aaqa se usne ye kaha
Gar ho Nabi batlaao zara
Meri muthi mai hai kya

Aaqa ka farmaan hua
Aur Fazl e Rahman hua
Muthi se kankar bola
La ilaha illallah

Dunya ke insaan sabhi
Shirk o bid’at kartay thay
Rab ke thay banday phir bhi
But ki ibadat kartay thay

But khaney sab tharraye
Mere Nabi hain jab aaye
Kehnelagi makhlooq e khuda
La ilaha illallah

Apni behen se bole Umar
Ye to bata kya karti thi
Mere aane se pehle
Kya chupke chupke parhti thi

Behen ne jab Quran parha
Sun ke kalaam e paak e khuda
Dil ye umar ka bol utha
La ilaha illallah

Wo jo Bilal e Habshi hain
Sarwar e deen ka pyara hai
Dunya kay har aashiq ki
Aankho(n) ka wo taara hai

Zulm hue kitne un par
Seenay pay rakha pathar
Phir bhi zubaa(n) pay jaari tha
La ilaha illallah

Mere Nabi ke ghulamoo(n) ka
Rutba bara hai shaan bari
Chaahe Ghous e Azam ho(n)
Ya ho(n) Data Hajveri

Yaad nahi tumhe wo manzar
Khawaja ne jab khud chalkar
Nawwe (90) laakh ko parhwaya
La ilaha illallah

Mere maula mere khuda
Tu hi khaliq e arz o samaa
Tu hi maalik e roz e jazaa
Main hoo(n) saraapa jurm o khata

Phir bhi tujh se hai ye dua
Waqt e naz’a jab aaye mera
Lab pe bas ho aik sadaa
La ilaha illallah

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *