Jaab Maula (a.s) Aainge | Nohay Nadeem Sarwar 2000 | YaAli.as

Al Ajal Labbaik Maula

Sari Duniya Mein Ujala Noor Ka Ho Jaye Ga
Khana E Kaaba Ki Chat Par Ek Alam Lehraye Ga
Jab Maula Aainge

Dekhna Ek Roz Manzar Is Tarah Ka Aye Ga
Manzaron Par Aik Manzar Mustaqil Ho Jaye Ga
Han Yehi Manzar Qayamat Ki Khabar Ban Jaye Ga

Sari Duniya Mein Ujala Noor Ka Ho Jaye Ga
Khana E Kaaba Ki Chat Par Ek Alam Lehraye Ga
Jab Maula Aainge

Ay Azadaro Suno Gy Jald Maula Ki Sada
Qayem E Aal E Muhammad Askari Ka Meh Laqa
Aa Raha Hai Aa Raha Hai Marhaba Sad Marhaba
Majlis E Shabbir Mein Ab Shor E Giriya Dekhna
Pursadaron Farsh E Gham Par Apna Maula Dekhna

Jab Maula Aainge

Surkh Andhian Uthen Gi Phir Samajh Mein Aye Ga
Jis Ki Duniya Muntazir Thi Phir Woh Manzar Aye Ga
Mosam E Insaf Ly Kar Mera Maula Aye Ga
Kufr Hujron Mein Chupy Ga Dar Badar Ho Jaye Ga
Mukhtasir Lashkar Imam E Asar Ka Cha Jaye Ga

Jab Maula Ayen Gy

Aye Ga Jab Haideri Talwar Ka Woh Wirsadar
Dekhna Chalti Hai Kaisy Taigh E Shair E Kirdagar
Phir Zameen O Aasman Tak Aik Hi Ho Gi Pukar
Shah E Mardan Shair E Yazdan Quwat E Parwardigar
La Fatah Illa Ali La Saif Illa Zulfiqar

Jab Maula Aayen Gay

Dekhan Is Tarha Maula Majlisen Karwayen Gy
Majlison Mein Karbala Waly Bulaye Jayen Gy
Nara E Haider Lagy Ga Panjatan Jab Ayen Gy
Dekhna Un Majlison Mein Har Shaheed Aa Jaye Ga
Phir To Woh Matam Karen Gy Aasman Hill Jaye Ga

Jab Maula Ayen Gy

Chand Narjis Ka Falak Sy Jab Zameen Par Aye Ga
Ayen Gy Sary Faristy Auliya Aur Anbiya
Aab E Kosar Ki Sabeelen Bhi Lagen Gi Ja Baja
Un Ky Aty Hi Sitaray Us Zameen Par Ayen Gy
Dekhan Shehar E Khamoshan Mein Diye Jal Jayen Gy

Jab Maula Ayen Gy

Akbar O Abbas Qasim Ky Liye Giriya Kunana
Royen Gy Matam Karen Gy Jab Imam E Ins O Jaan
Fatima Zehra Ki Aye Gi Yeh Awaz E Gughan
Ay Ghareeb O Bey Watan Ay Karbala Waly Hussain
Tera Nana Kar Raha Hai Teri Mazloomi Py Bayn

Jab Maula Ayen Gy

Farsh E Majlis Sayed E Sajjad Khud Bichwayen Gy
Marsiya Parhty Huye Baba Ka Akbar Ayen Gy
Hazrat E Abbas Bhi Apny Alam Ko Layen Gy
Noha Ek Rehan Sy Maula Mery Likhwayen Gy
Phir Yeh Noha Sath Mein Sarwar Ky Sab Parhwayen Gy

Jab Maula Ayen Gy

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *