Behti Rahi Furaat
Khoon Ho Kar Beh Gaya Akbar Ka Dill
Muskura Kar Khatm Asghar Ho Gaye
Behti Rahi Furaat
Karbala Ky Dasht Mein Aisa Andhera Cha Gaya
Aa Gai Sham E Ghareeban Surkh Hai Khak E Shifa
Jal Gaye Khaimey Sar E Shaam E Aalam
Kitny Manzar Khak Ho Kar Reh Gaye
Behti Rahi Furaat
Dhal Gaya Din Sham Aai Sham Bhi Aisa Ky Bas
Do Pehr Ky Baad Chai Aisi Tanhai Ky Bas
Kis Tarah Zehra Ka Ghar Loota Gaya
Kis Tarah Bey Sar Bahatar Ho Gaye
Behti Rahi Furaat
Aj Subh E Dam Yeh Ghar Roshan Bhi Tha Abaad Bhi
Sab Ky Waris Thy Salamat Bhai Bhi Aulaad Bhi
Ek Hawa Aisi Chali Pardais Mein
Bey Zabaan Bachy Bhi Bey Sar Ho Gaye
Behti Rahi Furaat
Yeh Hain Woh Sham E Ghareeban Jo Qayamat Ban Gai
Dukhtar Zehra Ky Sar Sy Jis Ny Chadar Cheen Li
Ya Rasool Allah Qayamat Ho Gai
Dakhil E Khaima Sitam Gar Ho Gaye
Behti Rahi Furaat
Aik Ek Qatry Ko Tarsy Ban Mein Atfaal E Hussain
Mashk Zakhmi Khali Koozey Lash Pamaal E Hussain
Reh Gaya Maidan Mein Bey Kas Ka Tan
Jashn Mein Masroof Lashkar Ho Gaye
Behti Rahi Furaat
Marty Dam Pani Pisar Mangy Padar Majboor Hai
Tu Bata Sham E Ghareeban Alqama Kya Door Hai
Waye Nehr E Alqama Behti Rahi
Aur Pyasey Qatl Akbar Ho Gaye
Behti Rahi Furaat
Hai Wohi Manzar Wohi Khaimey Wohi Tishna Labi
Aai Hai Shame Ghareeban Khoon Rulany Aaj Bhi
Gham Hamen Rehan O Sarwar Kiun Na Ho
Mehw E Matam Jab Payambar Ho Gaye
Behti Rahi Furaat
Muskura Kar Khatm Asghar Ho Gaye
Khoon Ho Kar Beh Gaya Akbar Ka Dil
Comment