Husain (A.s.)…..2
Maktal Me Jub Husain (A.s.) Pe Khanjar Rawa Hua,
Zainab (S.a.) Thi Ek Ret Ke Teele Pe Gam Zada,
Karte The Bain Arz O Sama….. Wa Musibata
Markad Me Apne Khaak Udhate Te The Mustafa (S.a.w.w.)
Jalti Zameen Pe Bain Yeh Karti Thi Sayyada (S.a.)
Ro Ro Ke Ahle Sham Se Kehti Thi Sayyada (S.a.)…..2
Haye Mere Husain (A.s.) Pe Kya Wakt Aagaya…..2
Husain (A.s.), Husain (A.s.)…..
Ghar Fatema (S.a.) Ka Loot Liya Fauje Sham Ne
Luta Hai Kisne Ummat E Khairul Anam Ne
Pyasi Nabi Ki Aal Thi Darya Ke Saamne
Din Bhar Uthaie Maiyate Shah E Anam Ne
Peer O Jawan Kurban Kiye Tashnakaam Ne
Aaya Na Koi Bhi Mere Bacche Ko Tham Ne
Sabro Raza Ke Sare Imtehan De Gay
Haye Mere Husain (A.s.) Pe Kya Wakt Aagaya…..2
Ek Sar Ajal Ne Maanga Bahattar Fida Kiye
Ashab E Ba Wafa Tahe Khanjar Fida Kiye
Pale Hue Sub God Ke Has Kar Fida Kiye
Zainab (S.a.) Ke Do Haseen Gul E Tar Fida Kiye
Jaun O Habib O Hur Se Baradar Fida Kiye
Deen E Khuda Pe Akbar (A.s.) O Asgar (A.s.) Fida Diye
Dard E Judaie Qasim (A.s) O Abbas (A.s.) Ka Mila
Haye Mere Husain (A.s.) Pe Kya Wakt Aagaya…..2
Kya Haq Rasool E Pak (S.a.w.w.) Ka Tumne Ada Kiya
Har Zulm Ko Husain (A.s.) Pe Tumne Rawa Kiya
Lekin Mere Husain (A.s.) Ne Dekho To Kya Kiya
Jo Wada Bachpane Me Kiya Tha Wafa Kiya
Karbobala Ki Khak Ko Khaak E Shifa Kiya
Jalti Zameen Pe Shukra Ka Sajda Ada Kiya
Mazloomi Yat Ki Sari Hadein Par Kar Gaya
Haye Mere Husain (A.s.) Pe Kya Wakt Aagaya…..2
Banjar Zameen Ki Shan Badhaie Husain (A.a.) Ne
Teeron Ki Janamaz Bichaie Husain (A.s.) Ne
Aaisi Namaz Ban Me Padhaie Husain (A.s.) Ne
Teg O Tabar Ki Pyas Bujhaie Husain (A.s.) Ne
Tawheed Apne Khoon Se Bachaie Husain (A.s.) Ne
Falaq Ki Kabr Ban Me Banaie Husain (A.s.) Ne
Noke Sina Pe Bolta Quran Ho Gaya
Haye Mere Husain (A.S.) Pe Kya Wakt Aagaya…..2
Tha Teen Shab O Roz Ka Pyasa Mera Husain (A.s.)
Narga Tha Sitamgaron Ka Tanha Mera Husain (A.s.)
Tanha Har Ek Shaheed Ko Roya Mera Husain (A.s.)
Zakhmon Se Jub Ke Choor Hua Tha Mera Husain (A.s.)
Ghode Se Kya Zameen Pe Aaya Mera Husain (A.s.)
Na Zeen Na Zameen Pe Thaira Mera Husain (A.s.)
Buz Sajda E Tazeem Me Sar Ko Jhuka Diya
Haye Mere Husain (A.S.) Pe Kya Wakt Aagaya…..2
Asgar (A.s.)Ki Kabr Khod Ke Roti Thi Zulfeqar
Kitna Neyam Me Sabr Mein Tadpi Thi Zulfeqar
Zainab (S.a.) Ki Tarha Sog Me Rehti Thi Zulfeqar
Woh Ke Adu Ke Khoon Ki Pyasi Thi Zulfeqar
Hanga Me Asr Nyam Se Nikli Thi Zulfeqar
Yeh Fauj E Be Murad Se Kehti Thi Zulfeqar
Tum Iski Jung Dekho Jo Barbad Ho Gaya
Haye Mere Husain (A.S.) Pe Kya Wakt Aagaya…..2
Jub Tak Sipa He Sham Se Yeh Keh Ke Purmalal
Tum Uski Jung Dekho Jo Sadmon Se Hai Nidhal
Mai Fauj E Na Murad Se Karta Hun Ek Sawal
Mujrim Tumhara Mai Tha Ya Bano (S.a.) Ka Nawnihal
Akbar (A.s.) Se Naujawn Ka Tumne Kiya Qital
Qasim (A.s) Ki Lash Ghodon Se Ki Tum Ne Paymal
Ab Uski Jung Dekho Jo Lashe Utha Chukka
Haye Mere Husain (A.S.) Pe Kya Wakt Aagaya…..2
Tum Kya Samajh Rahe The Ke Ghar Ko Ujad Kar
Qasim (A.s) Se Nawjan Pe Ghode Guzar Kar
Akbar (A..) Ke Dil Me Zulm Ki Barchi Utar Kar
Bayat Milengi Teer Se Asgar (A.s.) Ko Maar Kar
Mai Mutmain Hun Deen Pe In Sub Ko Maar Kar
Noke Sina Pe Sar Mera Rakhonge Haar Kar
Goonjengi Qaiyanat Me Har Simt Ek Sada
Haye Mere Husain (A.S.) Pe Kya Wakt Aagaya…..2
Farhan Nawhakhwan Hai Ya Mazhar Abedi
Dete Hai Is Jahan Ko Paigam Bus Yehi
Yeh Jo Gali Gali Mein Hai Lashe Biche Hue
Har Waqt Ke Yazeed (La) Ki Koshish Hai Aaj Bhi
Mit Jaaie Is Jahan Se Majlis Husain (A.s.) Ki
Wada Magar Husain (A.s.) Ki Madar Se Hai Yehi
Jaan De Kar Karte Jaienge Matam Husain (A.s) Ka
Haye Mere Husain (A.s.) Pe Kya Wakt Aagaya…..2
Ya Janabe Sayyada (S.a.) ….. Aaie Hai Purse Ko Hum
Ya Ali (A.s.) E Murtaza ….. Aaie Hai Purse Ko Hum
Saiyad E Abrar (A.S.) Ke ….. Aaie Hai Purse Ko Hum
Shah (A.S) Ke Ansar Ke ….. Aaie Hai Purse Ko Hum
Sheh (A.s.) Ke Alamdar (A.s.)Ke ….. Aaie Hai Purse Ko Hum
Akbar (A.S) Ke Zeejah Ke ….. Aaie Hai Purse Ko Hum
Qasim (A.S.) E Nashah Ke ….. Aaie Hai Purse Ko Hum
Aun (A.S.) O Mohammad (A.S.) Ke Bhi… Aaie Hai Purse Ko Hum
Bali Sakina (S.A) Ke Bhi ….. Aaie Hai Purse Ko Hum
Asgar (A.S.) E Masoom Ke ….. Aaie Hai Purse Ko Hum
Shahzadi E Qulsoom (S.A.) Ke ….. Aaie Hai Purse Ko Hum
Zainab (S.A.) E Nawshad Ke ….. Aaie Hai Purse Ko Hum
Han Sayyad E Sajjad (A.S) Ke ….. Aaie Hai Purse Ko Hum
Ya Janabe Sayyada (S.a)…..4
Alhamdolilah!!!
Comment