Ya Fatima Zahra (sa) |Shadman Raza Naqvi | 1441/ 2020 Ayame Zahra sa Noha

YA ZAHARA MADAR JAAN .

NOOR E DIL E MADAR
BIZAT E PAGHEMBER
CHARA GAR E AALAM
MAN NAFAS E HAIDER
AZMAT O RIFFAT MAIN RAHA TERA ARFA O ALA MOQAM
BAR AAL E MUHAMMAD SAW SALAM .

SALAM AYE GOHAR E DARIYA E NOOR
AYA E ZIBA E ISHAQ
RIHANA E ROOH E KHUDA

SALAM AEYI DAAR O NADAAR E ALI
AYE BOOD O NABOOD E HASSAN
AEYI MAADAR E ARBAB E MAN
ZIKAR E LUB E NOKAR
HA SYEDA TI LABAIYAK’AY

YA FATIMA ZAHARA SAL LALLAH HO ALAYIKY
YA FATIMA ZAHARA SYEDA TI LABAIYAK ‘AY.

HAQ KA TERAY DUMM SAY AJJ UJALA HAI
TERI SADAQAT KA TOUHEED HAWALA HAI
TERY SABAD HI DEEN E KHUDA KO HAI MERI BIBI DAWAAM
BAR AAL E MUHAMMAD SAW SALAM .

SALAM E JOHAR E ILM O YAQEEN
AEYI SITWAT E NOOR E MUBEEN
AEYI NAYIR E ARSH E WILA.

SALAM AEYI YAAWAR E ROOH UL AMEEN
AEY RAHAT QALB E HAZEEM
AEY SAYA E DAST E KHUDA .

QONAIN HAI TERA SADQA .

YA ZAHARA

NOOR TERAY RUKH KA JALWA E REHMANI
HASTI TERI BIBI NAIMAT E YAZDAANI

UMM E ABHIYA NOORI HIJAABO’N MAIN RAHA TERA PAYAM
BAR AAL E MUHAMMAD SAW SALAM

SALAM E MARKAZ E IZZ O SHARAF
AYE ZOUJA E SHAH E NAJAF
AYE BAANO E ROZ E JAZA

SALAM AEY AYYAT E SABR O RIZZA
AEY MAALIK E QADAR O QAZA
AYE SAYA E DAST E KHUDA

UMER E KHUDAYI YAQTA SYEDA TI LABAIYAK’ AY

AUJ E FASAHAT HAI QURAN E BALAGHAT HAI
JAAN E RISALAT HAI BUNIYAD E IMAMT HAI

TUJH SA NAHI HAI KOI JAHAN MAIN DUKHTAR E KHAIR UL INAAM
BAR AAL E MUHAMMAD SAW SALAM

SALAM AYE IZMAT E SHAMS O DUHAA
AYE IRFAT BADAR O TUJA
AYE TAJ E SAR E AMBIYA

SALAM AYE RUTBA SHANAS E ALI
AYE ASAL O ASAAS E ALI
AYE SAAYA E DAST E KHUDA

MAQSAD E INNA AATYINNAH SYEDA TI LABAIYAK’ AY .

PALA JISAY TUNAY CHAKI KI MUSHAKAT SY
RUNJ HUA NA HAI WOH FITNA E UMMAT SAY

BADAR O UHAD KA TERAY PISAR SAY KAISA LIYA INTEQAAM
BAR AAL E MUHAMMAD SAW SALAM

SALAM BAR AKBER E SHEEREN SUKHAN
BAR ASGHAR E TASHNA DAHAN
BAR SAKIN E KARBO O BALA

SALAM AYE MAADAR E KHASTA BADAN
AEY MUZTAR E RUNJ O MAHN
AEY SAYA E DAST E KHUDA

BINT E ALI KA NOHA SYEDA TI LABAIYAK’ AY

YA ZAHARA

MAARAY GAYE PIYASY RONDAY GAYE LAASHY
CH’EENI GAYE CHADAR LOOTAY GAYE KHEMY

SHAM E GHAREEBA MAIN JALAY HAAYE DARIYA KINARY KHAYAM
BAR AAL E MUHAMMAD SAW SALAM

SALAM AEY GHURBAT E AAL E AABA
AEY TABISH KHOON E KHUDA
AAEY HURMAT E KHAAK E SHIFA

SALAM AEY TALIB E ASHQ E AZZA
AEY GHURBAT KHAIR UN NISSA
AEY SAYA E DAST E KHUDA

MARA GAYA SAB QUNBA SYEDA TI LABAIYAK’AY

SHADMAN OR MAZHAR HAIN QAEB KAY AALAM MAIN
HATH UTHATAY HAIN MAZLOOM KAY MAATAM MAIN

YEH AZAKHANA APNA THIKANA HUM ISI DAR KY GHULAM
BAR AAL E MUHAMMAD SAW SALAM

SALAM AEY UMM E ABHIYA
SALAM AEY AYYAT E UZMA
SALAM AEY URWA TUL WUSQA SALAM

SALAM AEY ISHQ E SURAIYA SALAM
AEY SAYA E TUBA SALAM
AEY MADAAR E YAQTA SALAM

WIRD E ZUBAAN HAR LAMHA
SYEDA TI LABAIYAK’AY

YA FATIMA ZAHARA SAL LALLAH HO ALAYIKY YA FATIMA ZAHAR SYEDA TI LABAIYAK’AY

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.