Wada | Irfan Haider | Noha

 

Ya Zahra, ya zahra, ya zahra..(2)
Namaz, roza o hajj o zakat, khums o jihaad
har ek ibadat e parwardigaar karte hai
hum ali se jo pyaar karte hai..(2)
Ya Zahra… Ya Zahra..
 
Hum saare azadaar tere bachho’n ke ghumkhwaar
bus majliso matam ke talabgaar hai
hum wafadar hai bibi, hum azadaar hai bibi
hazir haii…
wada hai humara..(2)
Ya Fatima Zahra..
Nahi bhulenge karbala
Abad wallah ya Zahra ma ninsa hussaina..(2)
haan…
Kya hai ye zameen o zamaa’n
Wallah Ya zahra
dekhega ye saara jaha’n
Wallah Ya zahra
hum chand par…
hum chand par hussain ka ghum leke jaenge
Zahra tere hussain pe aasu bahaenge..(2)
 
Jab roz e azal humne ehraam e azaa baandha
bazu pe aqeedat se taweez e wafa baandha
Ya Zahra.. Ya Zahra..
Ab kaise rukenge qadam..
Wallah Ya zahra
Jaenge julooso mein hum..
Wallah Ya zahra
Har haal mein..
Har haal mein ye mahe moharram manaenge
Zahra tere hussain pe aasu bahaenge..(2)
 
Duniya ko bataenge ye qaum hussaini hai
ye shaal e azaa humne yuhi nahi pehni hai
Ya Zahra.. Ya Zahra..
Thak jaega suraj magar..
Wallah Ya zahra
Jaari ye rahega safar..
Wallah Ya zahra
Har ghar mein hum..
har ghar mein hum charaagh azaa ke jalaenge
Zahra tere hussain pe aasu bahaenge..(2)
 
Wallah.. Wallah.. Wallah.. Wallah..
Alam gharo’n pe hum lagaenge
dilo ko apne azakhana hum banaenge
phir usme aapko mehmaan hum banaenge
Ya Zahra.. Ya Zahra..
Imdaad kare gar Imaam..
Wallah Ya zahra
Baqi hai faqat ek kaam
Wallah Ya zahra
Shabbir ke..
Shabbir ke jaisa tera roza banaenge
Zahra tere hussain pe aasu bahaenge..(2)
 
Aye mere bibi karam tera jo salaar bane
har azadaar tera aisa azadaar bane
koi salman koi meesam e tammar bane
samna zulm se ho jaye to mukhtar bane
chahiye saath tera..
zawjaye shere khuda..
Mit jaenge dushman sabhi..
Wallah Ya zahra
Ye ghum na rukega kabhi..
Wallah Ya zahra
Is ghum ke liye..
Is ghum ke liye jaan bhi, ghar bhi lutayenge
Zahra tere hussain pe aasu bahaenge..(2)
 
Sochega zamana bhi ashko ke sahifo’n par
kyu naam sakina ka likha hai sabeelo par
Ya Zahra.. Ya Zahra..
Abbas ke haq ki qasam..
Wallah Ya zahra
Har aath moharram ko hum..
Wallah Ya zahra
Atfaal ko..
Atfaal ko saqqaye sakina banaenge
Zahra tere hussain pe aasu bahaenge..(2)
 
Tera beta, mera sayyed, mera sardaar Hussain!!!
Hogaya karbobala khoon se tayyar Hussain!!
 
Hussain Hussain!!!.. Hussain Hussain!!!
Hussain Hussain!!!
 
Wo teen din ki pyaas wo Ahmed ka laadla
bikhre pade the laashe shaheedo’n ke jaa ba jaa
qasim ki laash thi kahi’n akbar sa mehlaqa
bazu katake so chuka Abbas e bawafa..
Abbas e bawafa, Abbas e bawafa, Abbas e bawafa
Halmin ke de chuke jo sadaa shahe namdaar..(2)
Shere khuda ke sher ne tab khaichi zulfiqaar
 
Hussain Hussain!!!.. Hussain Hussain!!!..(3)
 
Aayi sada e ghaib ke bus rok lo hisaam

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *