Tajdar E Haram | Muhammad Owais Raza Qadri | 2016

 

Tajdar e haram ae shehenshah e deen
Tum pay har dam karoro(n) durood aur salam
Ho nigaah e karam hum pay sultan e dee(n)
Tum pay har dam karoro(n) durood o salam

Door reh kar na dam toot jaye kahi(n)
Kaash taiba main ae mere maah e mubee(n)
Dafan hone ko mil jaye do gaz zamee(n)
Tum pay har dam karoro(n) durood o salam

Koi husn e amal paas mere nahi
Phas na jaon qayamat mein Maula kahi(n)
Ae shafi’ e umam laaj rakhna tumhi(n)
Tum pay har dam karoro(n) durood o salam

 

Teri yaadon se mamoor seena rahe
Lab pe har dam Madina Madina rahe
Bas main deewana ban jaon sultan e dee(n)
Tum pay har dam karoro(n) durood o salam

Mout ke waqt kardo nigaah e karam
Kaash is shaan se ye nikal jaye dam
Sang e dar pe tumhare ho meri jabee(n)
Tum pay har dam karoro(n) durood o salam

Ab Madinay main sabko bula lijiye
Aur seena Madina bana dijiye
Behr e Ghous ul wara e imam e mubee(n)
Tum pay har dam karoro(n) durood o salam

Phir bulalo Madinay main Attar ko
Ye tarapta hai Taiba ke deedar ko
Koi iske siwa aarzo hi nahi
Tum pay har dam karoro(n) durood o salam

Tajdar e haram ae shehenshah e deen
Tum pay har dam karoro(n) durood aur salam
Ho nigaah e karam hum pay sultan e dee(n)
Tum pay har dam karoro(n) durood o salam

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *