Sattar Qadam ka fasla bahan bhai me tha
zainab sa lipat kar baap say dati rahi sada
Sattar Qadam ka fasla bahan bhai me tha
zalim mere Hussain as ke seenay pay tha sawar
Gin Gin kar kar rha tha wo piyasy galy pay war
hansta tha bar bar laien mary baien per
khanjar chal raha tha mari simat daikh kar
ankhon ke samny mary bhai ka sar kata
Sattar Qadam ka fasla bahan bhai me tha
har waar per sadayen di zahra sa ke chaien ne
Gazi as ko tarhan pakara Hussain as ne
jan e batool sa kob bachany na aon gi
bhai hamri lash uthany aonge
bhai ki har lash pay tarapta tha
Sattar Qadam ka fasla bahan bhai me tha
kia kia na daikha ap ki zainab sa ne baba jan
khanjar rawa tha halaq pay khool halaq say rawan
rakhti thi apne dukh me chupai rida ke sath
khajar ko saf karta tha shah ki aba ke sath
bhai tha mera khak pay para raha bejan
Sattar Qadam ka fasla bahan bhai me tha
bosha gahe Rasool SAW jab zibah kar chuka
zulfon say sar utha lia mary hussain as ke
is bat per b zalmo ke dil nai bharay
sadaniyo ki mout ke asbab youn kiye
sar ko dar e khamy pay lakar gira dia
Sattar Qadam ka fasla bahan bhai me tha
seene me us ke pahlu me ankho me teer tha
peshani per b teer tha us ke laga howa
baba najaf ki simat pukara hai ap ko
us waqat yaad karty thy hum dono baap ko
main kia biyan karo kasy sajda me ata howa
Sattar Qadam ka fasla bahan bhai me tha
jee bhar kar teer jab barsa gy laein
balon say jisam shah ke jisma chukay laein
talwaren azmate thy us tarhan jan per
zakhmo pay garam rait girata tha a kar
pattar marta tha jo b pattar mila
Sattar Qadam ka fasla bahan bhai me tha
hoti thi zakhmi jis ghari ama ki ungliyan
roo kar ye karti thi bahan shabir ke buqa
aye shimar jo mera sar kat lay
amma ke hath jo mary galay say hata dy
lakin laien shimar ne khanjar nai ruka
Sattar Qadam ka fasla bahan bhai me tha
jaty howy b dil me tha sakina sa ka khyal
wada ye hum say luy kar gaya tha tmhra lal
rakhyeo sambhal kar ye amanat Hussain as ki
marty waqat kch asi halat thi Hussain as ki
bas bar bar haye sakina sa pukarta
Sattar Qadam ka fasla bahan bhai me tha
akbar ajeeb thi sham e qareeba ki gharee
ro kar Ali say kahti thi zahra sa ki ladli
baba main cah kar b us waqat na mar sakai
jis din badan ki rooh ki parwah daikh ke
main dakhti rahi hi thi mary baba chaly gy
Sattar Qadam ka fasla bahan bhai me tha
Comment