Sultan e Karbala Ke Mehmaan | Syed Raza Abbas Zaidi | Nohay 2022 | Karbala | Muharram 2022 | 1444H

 LIKHA HAI YA HUSSAINع MOHARRAM KE CHAND PAR
ZAHRAس BHI AA GAYI’N HAIN BAQAYYA KO CHOD KAR
TOOTE HUWE DILON KA SAHARA HAI JISKA DAR
AAJAO US HUSSAINع KI JANIB KAREN SAFAR
JO KIBRIYA KI SHAN MOHAMMED KI JAAN HAI
HAAN APNE ZAAYERON KA JO KHUD MEZBAAN HAI
DAM BA DAM QADAM QADAM HAI DIL ME ISHQE KARBALA HUSSAINA, HUSSAINA
ZAAYERON KE QAFILON SE AA RAHI HAI YEH SADA
HUSSAINA, HUSSAINA
CHALE CHALO BADHE CHALO
HUSSAIN KI SADA SUNO
HUSSSINع TUMKO BULA RAHE HAIN
HAI SAMNE KARBALA
AKBARع KE SATH GHAZIع KHUD LENE JA RAHE HAIN
SULTANE KARBALA KE MEHMAN AA RAHE HAIN
1) PARCHAM KE SAAYE ME HAI ABBASع KI SAWARI
MEHMA’N NAWAZIYON KI TAYYARIYAN HAIN JAARI
SHABBIRع KA HARAM HAI HALCHAL HAI KHADIMO ME
GU’NBAD PE SHAAHE DEE’N KE PARCHAM LAGA RAHE HAIN
SULTANE KARBALA KE MEHMAN..
2) JO BEKAFAN HAI USKA DARBAR SAJ RAHA HAI
WOH HO RAHA HAI JO BHI ABBASع NE KAHA HAI
HAIN SURKH RAUSHNI ME KAALE LIBAS WALE
RO ROKE FARSHE MATAM KHADIM BICHA RAHE HAIN
3) RO ROKE KEH RAHE HAIN AFSOS HAI YEH BIBIس
AYE KASH HUM JO HOTE ASHUR WALE DIN BHI
9 LAKH ZALIMO ME TANHA NA HOTE MAULA
LABBAIK KEH RAHE HAIN AUR ROTE JA RAHE HAIN
4) NOORANI CHEHRE WALE GAALON PE KHAAKH MAL KAR
ZAWWAR AA RAHE HAIN PAIDAL NAJAF SE CHAL KAR
IS ISHQ KE SAFAR ME HAR SHAKHS MEZBA’N HAI
KUCH LOG RAASTE SE PATTHAR HATA RAHE HAIN
5) UN PAR SALAM HO JO BE SAKIYON PE AAYE
PAON KE BAL NAHI THE PHIR BHI NA LADKHADAYE
MILTI NAHI SABHI KO YEH ISHQ KI BULANDI
BAS YA HUSSAIN KEH KAR WOH CHALTE JA RAHE HAIN
6) THAAME HUWE TABARRUKH RAAHON ME JO KHADE HAIN
QASIMع KA NAAM LEKAR TAQSEEM KAR RAHE HAIN
DONO JAHAN ME AISA JAZBA KAHIN NA DEKHA
JO SAAL BHAR KAMAYA WOH SAB LUTA RAHE HAIN
6) YEH WOH ZAMEE’N HAI JIS PAR PYASI RAHI SAKINAس
GHAZIع KO YAAD KARKE ROTI RAHI SAKINAس
AB USKO ZAMEE’N PE KOI PYASA NAHI HAI DEKHO
PYASON KO MASHK WALE PANI PILA RAHE HAIN
7) “ZEESHAN” AUR RAZA JAB MAULA KE PAAS JAANA
HURع KI QASAM HAI TUMKO TABDEEL HOKE AANA AANA
AYE ZAIREENE MAULA HAI ASL YEH ZIYARAT
UNKI HAI MEZBANI JO HURع BANA RAHE HAIN
SULTANE KARBALA KE MEHMAN AA RAHE HAIN
TUM APNE DIL ME ZIYARAT KI AARZU RAKHNA
PHIR UNKA KAAM HAI JAZBE KI AABRU RAKHNA

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *