Haye
Wa Ghareeba Wa Hussaina
Haye Hussain
Shimr Ne Pehle Sakina Ko Dikhaya Khanjar
Baad Mein Gardan E Sarwar Py Chalaya Khanjar
Shimr Ne Pehle Sakina Ko Dikhaya Khanjar
Kabhi Haider Nay Gala Rakha Kabhi Zahra Nay
Kitnay Masoom Py Zalim Nay Chalaya Khanjar
Baap Par Waar To Beti Py Tamanchay Barsay
Jab Bhi Qatil Ka Sakina Nay Hataya Khanjar
Shimr Ne Pehle Sakina Ko Dikhaya Khanjar
Ek Angoothi K Liye Kaat Di Angusht E Hussain
Lash Par Sheh Ki Tujhay Rehm Na Aya Khanjar
Qatal Zainab Ko Kiya Cheen Kay Chadar Sar Say
Is Tarah Shimr Nay Naizay Ko Banaya Khanjar
Shimr Ne Pehle Sakina Ko Dikhaya Khanjar
Ek Sharabi Ko Aziyat Ka Kahan Andaza
Jis Tarah Chaha Sitam Gar Nay Chalaya Khanjar
Aye Sajjad Jo Bazar E Madina Mein Kabhi
Barh Ky Qassab Nay Jaldi Say Chupaya Khanjar
Shimr Ne Pehle Sakina Ko Dikhaya Khanjar
Phair Kar Munh Ko Ali Kehnay Lagay Ya Zahra
Itni Bay Dardi Say Zaalim Nay Phiraya Khanjar
Wa Hussaina Ka Hua Shor Takallum Barpa
Shimr Mukhtar Kay Jab Samnay Laya Khanjar
Shimr Ne Pehle Sakina Ko Dikhaya Khanjar
Comment