Shah qasim jaanam..(8) Ya qasim jaan
Dulha qasim, qasim..(2) shaah qasim..(2)
shahzada e qasim jaanam, ae nawjawanam
khush aamdeed ba maidan e karbala qasim
shah qasim janam
1. Kamar me patka sajakar wo maahtaab chala, shah qasim
sawale bay’ate fasiq ka ek jawaab chala, shah qasim
hasan ka laal misaale abu turaab chala
to karbala bhi, adab se boli
khush aamdeed…
2. Khayam e shaah se wo shane kirdigaar chala, shah qasim
husaini fauj ka mu bolta wiqaar chala
ajal bikherta maqtal me raahwaar chala
fida tumhare, nabi hai saare
khush aamdeed..
3. Rajaz labo’n pe sajai ba rasme islami, shah qasim
Abu turaab ka beta hu kaisi nakaami
kahan chupa hai wo badkaar arzaq e shaami
jo dekhe tewar, to bole haider
khush aamdeed..
4. Jo khainchi ghaiz me aakar husaam qasim ne, shah qasim
udoo se pucha bataa aur naam qasim ne
kiya laeeno ka jeena haram qasim ne
wafa pukari, qaza pukari
khush aamdeed…
5. Wigha ko arzaq e shaami ke do pisar aaye, shah qasim
zara si der mein ghode se khaak par aaye
zamee’n pe laashe hawao’n me sar nazar aaye
paro’n ko tole, farishte bole
khush aamdeed…
6. Jo aaya arzaq e shaami sambhale qalbo jigar, shah qasim
hasan ka laal badha qehre kibriya bankar
badan ko bhi na khabar thi ke kab hua besar
faza me naara, hasan ka goonja
Khush aamdeed..
7. Ghira laeeno’n me nagaah gul badan qasim, shah qasim
sumo se ghodo’n ke uljha wo khasta tan qasim
bikhar gaya kai tukdo me be watan qasim
zameen royi, ye roke boli
khush aamdeed…
8. Husain dasht me pohche the marsiya padhte, shah qasim
ebaa zamee’n pe bichakar utha liye tukde
ebaa ko dosh pe rakha ye bayn karte huwe
mai roya dilbar, ye baat keh kar
khush aamdeed…
9. Yahi pe mazhar o irfan khatm hai nauha, shah qasim
bikhar gaya sare maqtal wo qasim e naushaah
radeef bangaya qirtaas par yahi misra
shah qasim jaanam, ae nawjawanam
khush aamdeed wa maidan e karbala qasim
shahzada e qasim jaanam, ae nawjawanam
khush aamdeed wa maidan e karbala qasim
shah qasim janam..(6)
Comment