Nohay 2020 | SAKHI ABBAS | Hashim Sisters | New Noha Mola Abbas 2020 | Muharram 1442

Dil ki sada sunlo, Mola Abbas
Karbobala bulaalo, Mola Abbas
Rozay pay bulaao
Darbar dikhaao
Mola Abbas, Ya Abbas (x2)
Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas (x2)
 
Mola Abbas, Ya Abbas x2
Har ak azadar ki faryad khudara, Sun lijiye aqa
Karta hai dua ap se har chahne vala, Sun lijiye aqa
Darbar dikha dijiye, hum logo ko apna
Bigri ko banao sakhi Abbas
Roze pa bulao sakhi Abbas
 
Mola Abbas, Ya Abbas
Ummeed faqat tum se lagaye hen azadar, Ae ghazi almadar
Tum hi ho faqat apne zamaane mein mdadgar, Ae ghazi alamdar
Taqdeer badal di jiye, hum logo ki sarkar
Didar karao sakhi Abbas
Roze pa bulao sakhi Abbas
 
Mola Abbas, Ya Abbas
Hai tum se mere mola zamane ko bari aas, Ya  hazrate Abbas
Hum kese rahen door bula lije hume pas, Ya hazrate Abbas
Majboor hen lachar hen hum, yeh hota hai ehsaas
Sine se lagao sakhi Abbas
Roze pa bulao sakhi Abbas
 
Mola Abbas, Ya Abbas
Kab karbobala  jaoge kehta hai zamana, Sun lo ye fasana
Kab hoga mere mola bata di jiye jana, Sun lo ye fasana
Ab banta nahi mujhse mere, mola bahana
Rusva na karao sakhi Abbas
Roze pa bulao sakhi
 
Mola Abbas, Ya Abbas
Jo zakhm mile karbobala me tumhe mola, Hilta hai kaleja
Ek teerey sitam aankh me pewast tha aisa, Hilta hai kaleja
Bazu bhi badan par koi, mehfooz nhi tha
Itna naa rulao sakhi Abbas
Roze pa bulao sakhi Abbas
 
Mola Abbas, Ya Abbas
Sheh ran me uthate the jaha lashaye Akbar, Rote the tarap kar
Kehte the madad kar ne ko aja ae dilawar, Rote the tarap kar
Ghamkhaar hai koi naa koi, muniso yawar
Maqtal wo dikhaao sakhi Abbas
Roze pa bulao sakhi Abbas
 
Mola Abbas, Ya Abbas
Mayyat sare medan thi yun ap ki bikhri
Sunte hai ye hum ap ki chhoti si lahad thi.
Jese ke ye turbat ho kisi nanne jari ki.
Turbat wo dikhao sakhi Abbas
Roze pa bulao sakhi Abbas.
 
Mola Abbas, Ya Abbas
Mahum wo sitam ran me hue shere jari par, Kya likhega Johar
Pur kef tha ae Saania wo dasht ka manzar, Kya likhega Johar
Adeeya thi sada haaey, Hussain barabar
Sheh kehte the aao sakhi Abbas .
Roze pa bulao sakhi Abbas.

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *