New Noha 2022 || Karbala Na Bholna || Syeda Waleha Batool || Syed Hur hussain ||

Karbala Karbala Karbala Karbala Karbala Karbala

Ay Aza Daroun Kabhi Tum Karbala Na Bhulna

Ay Aza Daroun Kabhi Tum Karbala Na Bhulna

Aik Din Me Fatima Ka Ghar Luta Na Bhulna

Ay Aza Daroun Kabhi Tum Karbala Na Bhulna

Tum Julusoun Me Uthana Jab Alam Abbas Ka

Wasta Mashk E Sakina Or Harum Ki Piyas Ka

Khak Par Abbas Mou Ke Bal Gira Na Bhulna

Ay Aza Daroun Kabhi Tum Karbala Na Bhulna

Jab Bhi Seenay Se Lagana Betioun Ko Piyar Se

Wo Tamachay Yaad Rakhna Jo Sakina Ne Sahay

Nanih Zahara Par Stiam Ki Intiha Na Bhulna

Ay Aza Daroun Kabhi Tum Karbala Na Bhulna

Jab Aza Khana Sajao Aik Jhula Bhi Rakho

Wo Jahan Sotay Thay Asghar Ay Azadaroun Suno

Jaltay Kgemoun Me Wo Jhula Jal Gaya Na Bhulna

Ay Aza Daroun Kabhi Tum Karbala Na Bhulna

Nawjawan Betay Ko Jab Dulha Banana Mominoun

Pehlay Tum Akbar Ka Farsh E Ghum Bichana Momino

Sayed E Sajjad Ka Ye Silsila Na Bhulna

Ay Aza Daroun Kabhi Tum Karbala Na Bhulna

Hi Salam Yn Maaoun Paer Jo De Chukin Apnay Pisar

Phir Hussaini Maoun Halmin Ki Sada Aay Agar

Aonay Piyaray Ladloun Ko Bhejna Na Bhulna

Ay Aza Daroun Kabhi Tum Karbala Na Bhulna

Chal Basay Aun O Mohammad Nehar Pe Tashnadahan

Tukrhay Tukrhay Ho Gaya Maqtal Me Qasim Sa Jawan

Seena E Akbar Me Barchi Totna Na Bhulna

Ay Aza Daroun Kabhi Tum Karbala Na Bhulna

Jab Talak Sansain Hain Tum Matam Karo Shabbir Ka

Fatima Zahara Duain Den Gi Ay Ahl E Aza

Kat Gaya Shabbir Ka Sokha Gala Na Bhulna

Ay Aza Daroun Kabhi Tum Karbala Na Bhulna

Hum Ye Roro Kar Sada Detay Hain Zeeshan Abdi

Berida Qaidi Banay Zainab Jahan Pedal Chali

Karbala Se Shaam Ka Wo Rasta Na Bhulna

Ay Azadaroun Kabhi Tum Karbala Na Bhulna

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *