Nadeem Sarwar – Aa Merey Pyare Hussain 2001

Aa Merey Pyare Hussain

Aa Meri Goud Ky Paly Mery Hussain Aa

Merey Ghareeb Aa Zara Maan Ky Qareeb Aa

Seena Figaar Hai Tera Mujh Ko Hai Yeh Pta

Dasht E Bala Mein Fatima Zehra Ki Thi Sada

Aa Merey Pyare Hussain

Kis Ny Merey Jigar Py Yeh Khanjar Chal Diya

Kis Ny Merey Hussain Ko Pani Nahi Diya

Khud Chal Ky Kiun Na Aa Gaya Dariya Ko Kya Hua

Ek Bar Maan Pukaar Ky Goudi Mein Lait Ja

Aa Merey Pyare Hussain

Seh Roz Ki Yeh Pyas Yeh Jalti Hui Zameen

Chehra Lahu Lahu Tera Do Neem Hai Jabeen

Mazloom Merey Laal Ky Jaisa Koi Nahi

Teeron Sy Merey Laal Ka Seena Bhara Hua

Aa Mery Pyary Hussain

Pehly To Baba Jan Ko Roi Main Zaar Zaar

Roi Ali Ko Qabr Mein Dil Ho Gaya Figaar

Ek Laal Tha Hasan Mera Us Ki Hun Soagwar

Ab Tery Gham Ny Qabr Mein Rehny Nahi Diya

Aa Mere Pyare Hussain

Aata Hai Yad Mujh Ko Madiney Mein Apna Ghar

Chakki Main Peesti Thi Magar Tum Py Thi Nazar

Tum Ko Sulaya Karti Thi Raton Ko Jaag Kar

Ab Main Jaganey Aai Hun Ay Laal Jaag Ja

Aa Merey Pyare Hussain

Ek Bar Maan Pukar Ly Bilkul Usi Tarah

Jhooly Mein Jhoolty Huye Kehty Thy Jis Tarah

Woh Bachpana Tera Mujhy Bhooly Ga Kis Tarah

Merey Baghair Chain Sy Ek Pal Nahi Raha

Aa Merey Pyare Hussain

Maan Hun Mujhe Bata Tery Seeny Py Kya Hua

Kiun Hai Kamar Jhuki Hui Chehra Lahu Bhara

Abbas Hai Kahan Ali Akbar Kahan Gaya

Han Thak Gaya Hai Aa Meri Goudi Mein Laal Aa

Aa Merey Pyare Hussain

Tarhpy Alam Sy Seena E Sarwar Figaar Haye

Rehan Yeh Qalam Bhi Bahut Ashk Baar Hai

Kaisi Lahu Lahu Bhari Maan Ki Pukaar Hai

Tukrhy Jigar Ky Karti Hai Zehra Ki Yeh Sada

Aa Merey Pyare Hussain

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *