Mir Hasan Mir | Ab Main So Jaoon Gi Noha | 2014

 

Baba mere baba x 2
 
Ab mai so jaaungi baba x 3
 
Baba mere baba x 3
 
Baap ke sar se lipat kar ye sakina boli x 2
 
Band ho jaayengi x 2 kuch der me aakhe meri
Ab mai so jaaungi
 
1. Chalte naake se jo zaalim ne giraya tha muje
Ek bibi ne gale aake lagaya tha muje
Apni aagosh me ek baar sulaya tha muje
Saath baba ke mere aayi hai phir wo bibi
 
2. Qaid ye khatm hai zindaan ki kuch der ke baad
Paas asgar ke chali jaaungi kuch der ke baad
Band ho jaayengi aankhe meri kuch der ke baad
Pyaase hoto se x 2 sunayenge jo baba lori
 
3. Sir jhukaaye hue be aas khade hai amma
Karbala wale mere paas khade hai amma
Yaha akbar waha abbas khade hai amma
Aa gaye sab mai jinhe yaad kiya karti thi
 
4. Maa ki nazro se sakina ko chupalo bhaiyya
Haa mujko qurane masayeb to sunado bhaiyya
Qibla rukh khaak pe dukhiya ko lita do bhaiyya
Tumse wada raha x 2 dohraate hue nade ali
 
5. Phir nigaho me meri teero bhara hai laasha
Haath phaylaye hue hai mere pyaare baba
Gunjhti hai wo alaiyya ya bunayya ki sada
Aaj aawaaz wahi aati hai maqtal wali
 
6. Jab se darbar me gurbat ka wo manzar dekha
Sheh ki tanhaayi ne ek pal muje sone na diya
Khatm ye khwaab hua aaj se akbar mera
Koi ab baba ke – 2 hoto pe na maarega chhadi

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *