Mazar E Fatima | Nadeem Sarwar | 2021 | 1443

 

Haye

Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra

Haye

Dekho Mazar E Fatima Kitna Udas Hai
Ya Mazlooma Ya Masooma Ya Zahra

Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra

Dekho Mazar E Fatima Kitna Udas Hai
Bas Ek Nishan E Sang Hi Turbat Ky Pas Hai
Mehroom Choomny Sy Bhi Har Haq Shanaas Hai
Boly Zamany Khy Ka Bhala Kya Jawab Tu
Mehshar Mein Mustafa Ky Jab Aye Ga Ru Baru

Ya Mazlooma Ya Zahra
Ya Masooma Ya Zahra

Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra

Allah Ray Yeh Fatima Zehra Ki Bey Kasi
Ek Shama Bhi Jalany Ko Ata Nahi Koi
Tanha Hai Aik Goshy Mein Beti Rasool Ki
Charon Taraf Madiney Mein Phaili Hai Roshni
Tooty Huye Mazar Sy Lipti Hai Bey Kasi

Ya Mazlooma Ya Zahra
Ya Masooma Ya Zahra

Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra

Bol Ay Zamany Kya Tery Daman Mein Kuch Na Tha
Zehra Ny Har Namaz Mein Di Hai Tujhy Dua
Tu Aik Tooti Qabr Hi Zehra Ko Dy Saka
Jab Dekhty Hain Ujrhi Hui Qabr E Sayeda
Lagta Hai Jaisy Dhoop Mein Bethi Hain Fatima

Ya Mazlooma Ya Zahra
Ya Masooma Ya Zahra

Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra

Zehra Wohi Keh Jis Ky Pisar Hain Hassan Hussain
Zehra Wohi Keh Jis Ky Hain Shohar Shah E Hunain
Zehra Wohi Keh Jo Dil E Payghambari Ka Chain
Aisa Luta Yeh Chain Keh Ghar Bhar Lut Gaya
Ek Dil Tha Fatima Ka Jo So Baar Kat Gaya

Ya Mazlooma Ya Zahra
Ya Masooma Ya Zahra

Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra

Pehloo Mein Aap Ky Hain Hasan Zain Ul Abideen
Baqir Bhi Aur Jafar E Sadiq Bhi Hain Yaheen
Haye Kisi Bhi Qabr Salamat Bhi Ab Nahi
Mehshar Mein Apna Dard Sunayen Gi Fatima
Ummat Ny Jo Kiya Hai Batayen Gi Fatima

Ya Mazlooma Ya Zahra
Ya Masooma Ya Zahra

Ya Mazlooma Ya Masooma Ya Zahra

Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra

Ghurbat Rasool Zaadi Ki Parhti Hai Marsiya
Hasrat Sy Takta Rehta Hai Roza Rasool Ka
Ankhon Mein Ashk Cheekhty Hain Waa Muhammada
Farsh E Aza Bichany Ko Aa Jaiye Imam
Zehra Ka Gham Mananey Ko Aa Jaiye Imam

Ya Mazlooma Ya Zahra
Ya Masooma Ya Zahra

Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra

Bibi Tumhary Laal Ky Gham Khuwar Aye Hain
Jany Kahan Kahan Sy Azadar Aye Hain
Noha Sunaney Ap Ky Zawwar Aye Hain
Ye Arzoo Thi Ankhon Sy Matti Lagayen Gy
Socha Na Tha Keh Fatiha Parhny Na Payen Gy

Ya Mazlooma Ya Zahra
Ya Masooma Ya Zahra

Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra

Zawwar Chup Hain Sara Baqaiyya Udas Hai
Karbobala Khamosh Madina Udas Hai
Har Ek Nabi Ka Chahny Wala Udas Hai
Bibi Ko Qabr Mein Bhi Sakoon Hai Na Chain Hai
Hai Paslion Py Hath Zuban Par Hussain Hai

Ya Mazlooma Ya Zahra
Ya Masooma Ya Zahra

Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra

 

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *