kaun qaail tha salaami ke jina aur bhi hai
karbala dekhi to hum samjhe ke haa aur bhi hai
kaun qaail tha….
farq hai us dil ke jo ho hubbe ali se aabad
ussay behter koi dunya may makan aur bhi hai
karbala dekhi to….
kaun qaail tha….
naam e shabbir pe be saakhta girya hona
baade kalme ke ye emaan ka nishan aur bhi hai
karbala dekhi to….
kaun qaail tha….
barchiyan maarke akbar ko pukare aada
sheh se poocho koi farzand-e-jawan aur bhi hai
karbala dekhi to….
kaun qaail tha….
falake peer tujhe sheh ki zaeefi ki qasam
ali akbar sa zamane may jawan aur bhi hai
karbala dekhi to….
kaun qaail tha….
maa ne qasim se kaha subho ko tum hogay shaheed
is liye byah ki jaldi meri jaan aur bhi hai
karbala dekhi to….
kaun qaail tha….
baal khole huve laashe pe jo aayi zehra
khul gaya hur pe dam-e-nazra ke maa aur bhi hai
karbala dekhi to….
kaun qaail tha….
apne farzando ke marne pe bhi girya na kiya
daher may zainab e mazloom si maa aur bhi hai
karbala dekhi to….
kaun qaail tha….
sheh se zainab ne kaha tum jo ho mushtaq-e-qaza
meri amma ka koi fateha-khwan aur bhi hai
karbala dekhi to….
kaun qaail tha….
laashe pamaal sar e shaam jo hote hai nazeer
baagh e zahra pe sitam baagh e khizan aur bhi hai
karbala dekhi to….
kaun qaail tha….
Comment