Itna muqa ali akber ko qaza ne na
diya Maa’n tadpti rhi dulha bhi bnane
na diya Jane kiya soch ke seene se ali akber
ne Hath baba ko bohot der htane na diya
Lashe akber pa ye kehti thi tadap kr laila
Fayeda koi tujhe maa’n ki Dua ne na diya
Le gyi cheen ke baba se ajal akber ko Khat bhi humsheer
ka bhai ko sunane na diya Baap sharmindah hai
is aalam e ghurbat ne mujhe Chand qatre tujhe
paani bhi pilane na diya Lag gayi mout ki bhar
por jawani me nazar Haye taqdeer ne sehra bhi sjaane
na diya Mout se sirf rahega ye gila akber ko
Jo tha sughra se wo wada bhi nibhane na diya Kese
utthega zaifee me janaza iska Baap ko jisne kbhi
ranj uthane na diya Lag gaya chand ko laila ke
gehn maqtal me Maa’n ke armano ko prwaan chdhane
na diya Keh ke roti thi yehi Aamir o Akhter ik maa’n
Kon sa zakhm mujhe karb o bala ne na diya
Comment