Hassan Sadiq | Jhula tera khali hai | 1998

 

Jhula tera khaali hai parayshaan hai maadar

Mei haatho  ko phelaati hoon aaja ali asghar

Naazuk hai galaa tera tu pyaasa bhi bohot ha

aa paish karu tujh ko mei ashqon ka samandar

ab raat hui laut ke ghar kyu nahi aaya

jungle hai biyabaan hai rona nahi darkar

maqtal mai to barsaat hai teeron ki meri jaan

paani tujhe teeron se pilaingay sitamgar

maqtal ki hawa kaisi khabar la aayi hai beta

sunti hoon ke aik teer laga tere galay par

masoom mujahid ne lari jung jo rehan

haathiyaar tha aik teer tabassum tha labon par

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *