Gir kar kabhi uthe kabhi rakha zamee’n pe sar
ublaa lahu kabhi to sambhala kabhi jigar
hasrat se ki khayam ki janib kabhi nazar
karwat kabhi tadap ke idhar li kabhi udhar
uth baithe jab..(2)
to zakhmo se barchi ke phal gire
teer aur tan me gadh gaye jab mu’ ke bal gire
jungle se aai fatema zehra ki ye sadaa
ummat ne mujhko loot liya wa mohammada
is waqt kaun haqqe rifaqat kare adaa
zainab se boli fatema zehra basad bukaa
unnees so hai zakhm tane chaak chaak par
zainab nikal hussain tadapta hai khaak par..(2)
1. Kis chaah se paala ise aanchal me chupaa kar
mai jaagti rehti ise raato’n ko sulaa kar
chakki bhi jo peesi hai to godi me bitha kar
kis haal me dekha hai ise dasht me aakar
2. Hai kaun jo mazloom ko teero’n se bachaye
sehroz ke pyase ko koi paani pilaye
zakhmo mein bhari khaak koi aake chudaye
har laash uthayi hai ise kaun uthaye
3. Abbas ke marne se kamar toot chuki hai
akbar ke bichhad jaane se beenai gai hai
in ankho’n me besheer ki turbat bhi bani hai
hai aakhri lamhaat ajal sar pe khadi hai
4. Kuch der me khanjar mere bache pe chalega
afsos dame zibha bhi pani na milega
khanjar ke kai zarbo se sar iska katega
ghayyur hai beta mera hargiz na kahega
5. Baqi hai abhi jaan tera bhai hai zinda
ghode kahin dauda na de bedard hai aada
hay hay koi bekas ko nahi puchne wala
bhai se mohabbat hai to maqtal me chali aa
6. Ye bayn mai sunti hu tere baba ali se
hojaenge pamaal abhi laashe sabhi ke
kuch marhale baqi hai ghareebul watani ke
jaa haal zara dekh le is pyaase akhi ke
7. Aajiz hai yaha aake to har ek sukhanwar
farhaan anees e shahe wala hoke mazhar
likh paya nahi aaj talak koi wo manzar
jab kehti thi zainab se meri bibi tadapkar
unnees so hai zakhm tane chaak chaak par
zainab nikal hussain tadapta hai khaak par..(3)
Comment