Kitna ghareeb hogaya hussain…
Asghar ko dafn kar chuka jab fatema ka laal
tanhai apni dekh kar kehta tha pur malaal
amma…..
nau laakh ka raila amma mai akela
kitna ghareeb hogaya hussain
1. beenayi ja chuki hai jigar paash paash hai
is haal may bhi laashe pisar ki talaash hai..(2)
akbar ka hai laasha.. amma mai akela
kitna ghareeb…
2. Amma ye aafate ye masaib ye tashnagi
ghurbat may saath chor gaye hai mera sabhi..(2)
zakhmo ki ye dunya.. amma mai akela
kitna ghareeb…
3. Na fauj reh gayi na alamdar reh gaya
bas reh gaya to tera dilafgaar reh gaya..(2)
hai zulm ka sehra.. amma mai akela
kitna ghareeb…
4. Waade sabhi nibha ke hua aise surkh roo
balo’n may khaak chehre pe baysheer ka lahoo..(2)
haatho’n pe janaza.. amma mai akela
kitna ghareeb…
5. Daulat rabab ki sare maqtal chupayi hai
apne zaeef haatho se turbat banayi hai..(2)
karta raha noha.. amma mai akela
kitna ghareeb…
6. Bachpan may kitne naaz uthaye hai yaad hai
ek pal bhi khud se door na karti thi tu mujhe..(2)
ye waqt hai kaisa.. amma mai akela
kitna ghareeb…
7. Awaaz e isteghasa sunay kaun ab yahan
abbas hai na qasim o akbar na bezabaa’n..(2)
ab kaun hai mera.. amma mai akela
kitna ghareeb…
8. Jis phool se badan pe kabhi dhoop na padhi
teero’n ne chaan daala hai amma badan wohi..(2)
marham na dilasa.. amma mai akela
kitna ghareeb…
9. Ek daur tha ke ghar se agar mai kahin gaya
saaye ki tarha saath may rehte the aqraba..(2)
ek ye hai zamana.. amma mai akela
kitna ghareeb…
10. Ye barchiyo ki naizo ki dunya hai aur mai
tanhai fauje shaam ka nargha hai aur mai..(2)
de mujhko dilaasa.. amma mai akela
kitna ghareeb…
11. Zakhmo se choor choor badan qalb aur jigar
faryaad hai labo’n pe qaba hai lahoo may tar..(2)
chalni hai kaleja.. amma mai akela
kitna ghareeb…
12. ‘Farhan’ us ghareeb ki lachaar ki buka
ha ‘mazhar abidi’ ka qalam likh nahi saka..(2)
hai bas ye khulasa.. amma mai akela
kitna ghareeb…
Comment