Farhan Ali Waris | Inqelab | Ali Haq | Noha | 2011

  Allah x4

Hai nayi subho ka aaghaz, allaho akbar

Aye zindagi jalaal-e-shahe-mashraqein de,

Iss taaza karbala ko bhi azm-e-Hussain de,

Allah re inteshaar ke zakhmi alam badosh,

Hairaan hai aql-O-zehen pareshaan hai lab khamosh,

Doobe hue hai gham ke samandar mein ahle hosh,

Fitna fasad aisa hua hai yahan ke bass,

Aman-O-Amaa’n ki aisi udi dhajjiyaa’n ke bass,

Naaro’n se inteqaam ke dil dehelne laga,

Talwaar chup hui toh lahoo bolne laga,

Inqelaab Inqelaab Inqelaab

Ek Inqelaab chaiye ek Inqelaab

1.

Ab arsh-O-zameen ke 14 tabaq matam ke sada se hil jaaye,

Har ghar se imaarat se har soo, abbas ka parcham lehraaye,

Yeh khwaab haqiqat paaega, phir baccha baccha bolega

ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ,

Tafseer aqide ki hai yehi, taameer aqide ki hai yehi,

Abbas ka parcham haathon mein aur sabko labo’n par ek naara,

Inqelaab Inqelaab Inqelaab

Ek Inqelaab chaiye ek Inqelaab

2.

Talwaaron ki dhaaron ko modo, rukh modh do inn toofano ka,

Haq baat kahenge suli par, yeh azm ho nauhakhwaaron ka,

jazbon ko zara toofan karo, meesum ki tarah elaan karo,

ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ,

Khanjar ki kaat ho lafzon mein, lehje mein kadak ho bijli ki,

haalat taqaaza karte hai, ab gunje fiza mein ek sada,

Inqelaab Inqelaab Inqelaab

Ek Inqelaab chaiye ek Inqelaab

3.

Hum middhe Ali mein daarr pe bhi, lafzon ko ravaani dete hai,

Katti hai zabaan kat jaaye magar paighaam zabaani dete hai,

ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ,

Shahid hai aadaye meesum mein, hum hai woh Ali ke diwaane,

Jis pedh pe phaansi lagni ho, uss pedh ko paani dete hai,

ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ,

4.

yeh zabaan kaat do,

jism-o-jaan kaat do,

Midhat-e-Murtuza ki saza do mujhe,

Zikr-e-Shaahe Najaf se rukunga nahi,

chaahe sau(100) baar sooli chadha do mujhe,

tukde tukde karo mera saara badan,

aag roshan karo aur jala do mujhe,

Jab mere jism ki raakh ban jaaye toh,

leke haathon mein apne udaa do mujhe,

ek do din nahi subhe mehsar talak,

jab jahan jis taraf woh hawa jaegi,

Haq Ali Yaa Ali ki sada aaegi

ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ,

5.

Gaur se sunle ahle jahan, zikre Haider na ruk paaega,

Sheh ki majlis na ruk paaegi, Sheh ka matam na ruk paaega,

Tum zulm ki hadd ko paar karo, hum sabr ka daman thamte hai,

tum laakh mazaalim humpe karo, hum khoon bahaana jaante hai,

tum aao humko qatl karo, hum apni shahdat maagte hai,

hai jaan humari nazr-e-Ali, yeh jaan toh humko deni hai,

tum kitne hussaini maaroge, yeh saari qaum hussaini hai,

YA HUSSAIN YA HUSSAIN YA HUSSAIN YA HUSSAIN

6.

Virsa hai shahadat toh apne ghar jalna humara virsa hai,

jo maut se aankh milaata hai, bas wohi hi hussain hota hai,

mazloom ke matam daar bano, haq baat ka yu’n parchaar karo,

ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ ALI HAQ,

Halmin ki sada zehno mei rahe, matam ki sada labbaik kahe,

Har daur ka marhab ka kaamp uthe, aye azm-e-hussaini jaag zara,

Inqelaab Inqelaab Inqelaab

Ek Inqelaab chaiye ek Inqelaab

7.

Yaa Hussain Yaa Hussain

Aashoor ka jab suraj dekho, khud apni maa se jaake kaho,

pehnaao kafan marne ke liye, aye maa mujhko tayyar karo,

tayyar hu main akbar ki tarha, tum azm dikhaao zainab ka,

main qasim se badhkar toh nahi, naa husn mein hu akbar ki tarah,

Na auno mohd jaisa haseen, na beta tera asghar ki tarah,

seh roz ka main pyaasa toh nahi, majboor nhi tanha toh nahi

a’Gar laut ke main ghar naa aau, tum zabt mera gham kar lena,

Ashkon ko hi marham kar lena, shabbir ka matam kar lena,

Farhan aur Mazhar ki hai dua, yeh farshe azaa aabad rahe,

paighaam-e-Hussaini dete hai, har waqt labon par ho yeh sada,

YA HUSSAIN YA HUSSAIN YA HUSSAIN YA HUSSAIN

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *