Haaye haaye haaye x3
khaamoshiyon se hi pucho, in aasuon se hi pucho x2
bade zulm raaho me sehti rahi hai, yateemi ke taane yeh sehti rahi hai, nahi maar zalim tamaache ise, na kar iska dushwaar jeena,
bohut ro chuki hai sakina x2
Safar me yeh soyi na zindaan me aakar, ujaala kiya hai yaha dil jala kar, padar se jo bichdi hai ashooor ko, sukoon paa saki phir kabhi na,
bohut ro chuki hai sakina x2
mila dasht me jab k baba ka laasha, lipat k padar se kiya khoob girya, waha pahunchi zainab toh sheh ne kaha, sulaa do ise jaa ke behnaa,
bohut ro chuki hai sakina x2
rasan de gyi hai nishaani gale par, hai peshaani zakhmi jo khaaye the patthar, nishaan hai tamachon k rukhsaar par, masaaeb se zakhmi hai seena,
bohut ro chuki hai sakina x2
kabhi apne baba k qatil se darkar, kabhi royi zindaan me tanhaaiyon par, kabhi boli zainab k ab ghar chalo, hua ek baras ek mahina,
bohut ro chuki hai sakina x2
Qayamat ki ek raat aisi bhi aayi, qaza ne sakina ko loree sunaayi, kaha roke sajjad ne aye phuphi, ke ab royegi phir kabhi na,
bohut ro chuki hai sakina x2
jo qabr-e-sakina pe rote the qaidi, toh un ronewalon se baano yeh kehti, abhi thak ke soyi hai zindaan me, jagaana ise ab koi na,
bohut ro chuki hai sakina x2
yeh kehta hai farhan se roke mazhar, jo qabr-e-sakina pe jaana biradar, waha marsiya jaake kehna yehi, bohut ro chuki hai sakinaa,
bohut ro chuki hai sakina x2
Comment