Farhan Ali Waris | Agaya Mah E Moharram | Noha | 2013

Chand Moharram Ka Nazar Aagaya-

Chha Gaie Gham Ki Faza’a-

Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s) Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s)  4

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e- Aza’a….2

Arsh Say Aa’nsoo Bahanay-

Arsh Say Aa’nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (s.a)….

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a….2

Zaib-e-tan Aihl-e-aza’a Nay Kar Liyay Kaalay Libas-

Haath Hain Seeno’n Pe, Aa’soo Aankh Mein, Chehray Udaas-

Hai Juloos-e-gham Kahi’n Par-(2)

Aur Kahi’n Majlis Bapa-

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a..

Arsh Say Aa’nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (s.a)..

Nasb Karti Hain Azakhanay Kaneezaan-e-batool (s.a)-

Hath Mein Patka Alam Ka, Lab Pe Noha, Dil Malool-

Alqamah Aa’nkho’n Say Jaari-(2)

Lab Pe Haaey Karbala-

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a..

Arsh Say Aa’nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (s.a)..

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a..

Daikh Kar Maah-e-aza’a Ko, Maa’n Nay Bachcho’n Say Kaha-

Aao Main Tum Ko Sikhaao’n Kia Hai Tehzeeb-e-aza’a-

Ba Wuzoo Hokar Hi Parhna-(2)

Soz, Noha, Marsiyah-

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a..

Arsh Say Aa’nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (s.a)..

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a..

Yeh Azadari Chali Hai Syed-e-sajjad (a.s) Say-

Zakiri Ki Ibtida Hai Zainab-e-naashaad Say-

Perawi Sajjad (as) Ki Hai- (2)

Bediyan’n, Shaal-e-aza’a-

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a..

Arsh Say Aa’nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (s.a)..

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a..

Ban Kay Saqqa-e-sakina (s.a),tifl Aur Peer-o-jawaa’n-

Syedo’n Kay Ghar Pe Jaakay Pursa Daitay Hain Wahaa’n-

Yeh Wohi Din Hain Ke Jis Mein-(2)

Aap Ka Ghar Lut Gaya-

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a….

Arsh Say Aa’nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (s.a)….

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a.,..

Ta’aziyay, Jhoolay, Sabilai’n Nisbat-e-shabbir (a.s) Hai-

Yaad Mein Eik Bay Watan Kay Harqa-e-zanjeer Hai-

Apnay Hi Khoo’n Rneiri Nahaa Kay-(2)

Kehtay Hain Khooni Qaba-

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a….

Arsh Say Aa’nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (s.a)….

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a….

Aaj Har Dil Mein Basa Hai Tera Hi Gham Ya Hussain (a.s)-

Ghair Muslim Bhi Manatay Hain Moharram Ya Hussain (a.s)-

Eik Teray Gham Nay Hi Mola-(2)

Sab Ko Yak Jaa Kardiya-

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a….

Arsh Say Aa’nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (s.a)….

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a….

Chaar Soo “farhan”-o-“mazhar”, Momino’n Ka Qatl-e- Aam-

Aik Pal Ko Rok Paaya Kiya Moharram Ka Nizaam-

Bhooi Jaatay Hain Yeh Keh Kar-(2)

Apnay Gham Aihl-e-aza’a-

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a….

Arsh Say Aa’nsoo Bahanay Aagai Hain Fatima (s.a)….

Aagaya Maah-e-moharram, Bich Gaya Farsh-e-aza’a….

Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s) Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s)  4

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *