Farhan Ali Waris | Aaj Sham Tak | 2015

 

Subhe Aashur bade azan
Karbala kar rahi hain fuga….x2
Khaymon me sirf hoga dhua aaj shaam tak…x2
 
Thak jayegi yeh umr rawa aaj shaam tak
 
Kaisi saji hain bargahe shere zuljanah
Akbar sa naujawan koi Qasim sa khushjamal
Abbas sar se taba kadam haideri halal
Dekhe suwe khayam kisi ki nahi majal
Lekin koi jeeyega kaha aaj shaam tak
Khaymon me sirf….x2
 
Bacchon me keh rahi hain Sakina khushi khushi
Do ab pahar ki baat hain apni yeh tishnagi
Bhai hain lashkaron pe har ek farde hashmi
Qayam rahe khuda mere ammu ki zindagi
Ho jayege watan ko rawa aaj shaam tak
Khaymon me sirf….x2
 
Rakkhe namaz padhke musalle lapetkar
Lo ehle shar ke saamne ja pohoncha purjigar
Lagta nahi hain seesgi hain aakhri sahar
Yeh josh yeh kharoch yeh ronak to hain magar
Har samt hogi aaho fuga aaj shaam tak
Khaymon me sirf…x2
 
Akbar khade hain ulte huwe apni aasti
Din dhal raha hain chupne lage hain rukhe haseen
Zainab ko ho chuka hain aseeri ka ab yakeen
Lo waqte asr aa gaya Shabbir bhi nahi
Badlega baar baar sama aaj shaam tak
Khaymon me sirf….x2
 
Ashabo akraba me na baki koi raha
Khayme me aaye rote huwe  Shahe Karbala
Bosa gale pa bhai ki Zainab ne jab liya
Bazu behan ka chum ke Shabbir ne kaha
Honge yaha
Honge yaha rasan ke nishaan aaj shaam tak
Khaymon me sirf….x2
 
Gash me pade hain Aabid e bemar farsh par
Teemar daar daud rahe hain idhar udhar
Khona hain kya Dabeer me kisiko nahi khabar
Aada uthayege inhe
Aada uthayege inhe bistar ghasitkar
Gardan me hoga tauk gara aaj shaam tak
Khaymon me sirf…x2

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *