Haai sakina…4
Daswi ki sahar hone se pehle
Beti ko bulaya baba ne
Or roke ye kaha
Aa seene pe soja aakhari baar
Ye aakhari shab hai……..
Kal hum na rahenge
Is khaak me hum so jayenge
Bohot door chale jayenge…
Sakina… Baba…
Bohot door chale jayenge…
Is dasht me soyenge
Tere chahane waale
Allah tujhe beta
Yatimi se bachale
Ye aakhari shab hai……..
Tum dhundogi humko
Hum lout ke ghar na ayenge
Tadpogi yaha tum bi
Waha dasht me hum bi
Hum dono ko sehne hai
Ye furkat ke sitam bi
Ye aakhari shab hai……..
Aa bait mere paas
Ab khwaab me hi mil payenge
Jee bhar ke mohabbat ka
Me izhar tho karlu
Aagosh me aajao
Tumhe pyaar tho karlu
Ye aakhari shab hai……..
Dil tham lo beta
Hum tumse juda ho jayenge
Wo Aouno Mohammad ho
Wo Kasim ho ke Akbar
Hur ho ke Habibi ibne
Mazahir ho ke Asghar
Ye aakhari shab hai……..
De denge dilase
Maqtal me sabi so jayenge
Na dhoop ki shiddat se
Na tadpogi sitam se
Ha pyaas ka shikwa tho
Karogi kabi humse
Ye aakhari shab hai……..
Kal denge chacha jaan
Jab paani lene jayenge
Seene pe kabi maa ke
Tujhe sona padega
Pehlu me puphi jaan ke
Tujhe sona padega
Ye aakhari shab hai……..
Aa seene pe soja
Kal ye bi nahi keh payenge
Ab tera mukaddar hai
Safar or aseeri
Bazar bi jaana hai
Tho zindane sitam bi
Ye aakhari shab hai……..
Pehnogi rasan jab
Hum tumko bohot yaad aayenge
Aadat kaha seene ke
Siwa sone ki beta
Chin jayega kal tujhse
Tere baba ka seena
Ye aakhari shab hai……..
Hum daghe yateemi
Ay beta tujhe de jayenge
Jumle ye shahe deen ke
Fugha ban gaye mazhar
Jo nohay ki surat me
Hai irfan ke lab par
Ye aakhari shab hai……..
Kal hum na rahenge
Is khaak me hum so jayenge
Bohot door chale jayenge…
Sakina… Baba…
Bohot door chale jayenge…
Comment