BARA DIL DUKHAYA – New Noha Bibi Fatima Zehra | Mesum Abbas 2021

 

Ae Madine Waalon Bara Dil Dukhaya

“Thak Gayeen Roke To Khaamosh Hogayeen Zehra, Zakhm Pehlu Mai Liye Aaj Sogayeen Zehra”

Batao Ahle Madina Ye Tumne Kya Hai Kiya
Nabi Ki Aaal Se Tumne Nibhaayi Khoob Wafa
Sitam Hai Umme Abiha Ko Tumne Tarpaya
Bulaya Barsare Darbar Haq Bhi Cheen Liya
Binte Mustafa Ko Kyun Lahu Rulaya

Ae Madine Waalon Bara Dil Dukhaya

 Vo Beti Naazon Se Paala Jisse Muhammad Ne
Kabhi Na Ghar Se Nikaala JIsse Muhammad Ne
Khadija Banke Sambhaala Jisse Muhammad Ne
Khud Apne Aap Me Dhaala Jisse Muhammad Ne
Nargha e Sitam Me Kyun Usse Bulaya

Ae Madine Waalon Bara Dil Dukhaya

Tumhara Dava Tha Humdard Tum Rasool Ke They
Hadees e Pak Ke Paband Aur Usool Ke They
Tumhi To Sehne Nabuwat Main Misle Phool Ke They
Na Tum Nabi Ke Janaaze Mai Na Batool Ke They
Koi Bhi To Vaada Tumne Na Nibhaya

Ae Madine Waalon Bara Dil Dukhaya

Chalay Gaye Vo Mohabbat Ke Davedaar Kahan
Chalay Gaye Vo Muhammad Ke Janisaar Kahan
Vo Jhoote Log Shariyat Ke Thekedaar Kahan
Kaho Rasool Ki Beti Ka Hai Mazaar Kahan
Qabre Syeda Par Roshni Na Saya

Ae Madine Waalon Bara Dil Dukhaya

Sanad Ke Tukre Kiye Aur Gawah Jhutlaye
Batool Royeen To Ispe Bhi Aitraaz Aaye
Bus Ek Hujre Mai Rone Ka Izn Tha Haye
Nabi Ki Laadli Beti Ne Dukh Bohot Khaaye
Ta Dum e Shahadat Kis Qadar Sataya

Ae Madine Waalon Bara Dil Dukhaya

Qabre Zehra Se Yahi Aaj Bhi Aati Hai Sada
Kya Sitam Mujhpe Huay Tumko Bataaon Baba
Mere Mohsin Ne Wiladat Ke Evaz Paayi Qaza
Zakhmi Pehlu Ko Liye Karti Rahi Mai Noha
Aag Leke Aaye Aur Ghar Jalaya

Ae Madine Waalon Bara Dil Dukhaya

Qaala Rasool Allah (saaw)
“Fatimato Baz’atuminni, Faman Aghzabaha, Aghzabani”

Ae Madine Waalon Bara Dil Dukhaya

 Ye Hai Hadees e Nabi Kyun Isse Bhulaya Hai
Kisi Ne Fatima Zehra Ko Gar Rulaya Hai
Samajhlo Usne Muhammad Ka Dil Dukhaya Hai
Hain Khafa Payamber, Bus Ye Baat Keh Kar,
Kyun Ghadeer Ki Tarha Ye Qaul Bhi Bhulaya

Ae Madine Waalon Bara Dil Dukhaya

Ali Ko Qaidi Banaya Gaya Madinay Mai
Hasan Ko Zeher Khilaya Gaya Madine Mai
Nabi Ke Ghar Ko Jalaya Gaya Madine Mai
Bughz Ke Jalon Ko, Keena Parwaron Ko
Jab Shaheed Syeda Hueen To Chain Aya

Ae Madine Waalon Bara Dil Dukhaya

Kahan Talak Vo Masayib Bayaan Karai Mesum
Rasool Zaadi Ke Matam Main Sogwaar Hai Hum
Siyah Posh Hai Kaaba Udaas Hai Alam
Farshe Ghum Bichaya, Binte Mustafa Ka,
Mazher Abidi Ne Roke Marsiya Sunaya

Ae Madine Waalon Bara Dil Dukhaya

La’an Allahu Ala Adu e Keh Ya Fatima
Hai Qatilane Syeda – Jahannumi
Jinhone Ghar Jaladiya – Jahannumi
Fidak Ke Chor Ki Saza – Jahannumi
Muqasire Aza Wila – Jahannumi

Ae Madine Waalon Bara Dil Dukhaya

Lanati Hai

Hai Jo Bhi Dushmane Nabi – Jahannumi
Hai Jo Bhi Dushmane Ali – Jahannumi
Mukhalifeen e Matami – Jahannumi
Hai Munqire Aza Sabhi – Jahannumi

Ae Madine Waalon Bara Dil Dukhaya

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *