Ana Min Hussain as
ye mari soch mari fikar ye mera kirdar
jis me shamil han gohar hussin afqar
ye mari azmat e jurat mari shujat mari
baesay hazrat e shabeer as mara iftikhar
Ana Min Hussain as
Haq ka suna haq ka kia hai haq ka parchar
seerate alee muhammad saw say mila ha ye shiyar
zulam ke agy kabhi sar na jhukaya main ne
karbala hai ye haqeqat mari guftaar
Ana Min Hussain as
deen e islam ki azmat ka bharam rakhna ha
mislay shaber as mujy is ka deefa karna ha
anch any nai dati koi bhe is per
main ne gee dhary pay is rah me marna ha
Ana Min Hussain as
sirf lafzo say muhabbat nai ki jati ha
marfat ishq saliqa hamy sikhati ha
jab aqeeday pay parakh lay imaa apna
phir shahdat usy aam naazar ati ha
Ana Min Hussain as
ek shab kafi ha ahsas badlny ke liye
lashkar e kufar sy hur me badlny k liye
waqat ke mola ki pahchan agr ho jaye
baat kafi ha ye taqdeer badlny k liye
Ana Min Hussain as
uswaye hazrat e shabeer as riyazat mari
maqsad e deen ki tasheer ibadat mari
karbala walon ka rasta ha mera bhe rasta
mujh ko maloom ha is me hai shifaat mari
Ana Min Hussain as
zaieb daita nai ban jaon main bozdil
door e haq ha isi me ha mitna
noke e naizay pay agr sar charta ha char jaye
marziye khaliq e akbar ko krna ha hasil
Ana Min Hussain as
rahbar e deen ki awaz pay labbaik kahon
hukam jis rah ka day us rah per chalon
naieb e mola pay ye jan fida ho mari
in ki marzi ke bina kam koi b na karon
Ana Min Hussain as
asar yazi yazeedo say nahi darna ha
jo 72 ne kia kam wohi krna ha
kar ke hath me nazullah ka alam
aj ki karbobala me kadam rakhna ha
Ana Min Hussain as
ab bhe halmi ki sada goonj rahi ha har soo
zulam hi zulam ha jis per na ha qabo
jurat e hazrat e abbas as ko ly kar utho
karbala hosla mazlom ka ha ho ba ko
Ana Min Hussain as
jis me ha jurate jazba ha izhar b ha
wo ali deep ghulam e shahe abrar bhe ha
zaib daita ha usi ko lagana nara
misal e bu zar muti jo haiar e qarar bhe ha
Ana Min Hussain as
Comment