Hussain ibn e Ali as ka jis zamee per imtiha ho ga
wahan per hon gy angary falaq sholaa fisha ho ga
kahi pay tashnagi ho gi kahi pay darya rawa ho ga
sada alatash ho gi qayamat ka sama ho ga
Qayamat ka sama ho ga
kahi pay tashnagi ho gi kahi pay darya rawa ho ga
Qayamat ka sama ho ga
maray mazloom aqa jab ke tanha rah gaye hon gy
zameen per har taraf piyaso ke lashy dakhty hon gy
kahi akbar as pary hon gy kahi asghar as pary hon gy x2
ghamo ki aag ho gi or ashko ka dhuwan ho ga
Qayamat ka sama ho ga
Ali Akbar as ka seena or wo barchi or mera Mola as
tarapti lash say barchi nikaly ga mera Mola as
kalaija dakh ke dil ko sambhaly ga mera Mola as x2
qamar toti hoi ho gi zuban per alaa maa ho ga
Qayamat ka sama ho ga
Hassan as ke lal ki mayaat py ghoory dhorty hon gy
jawa ki lash ke tokray har ek janib pary hon gy
wo tokray ly ke gathri me jo sarwar la rhy hon gy x2
Aahy hon gi maqtal me na kch shory foogha ho ga
Qayamat ka sama ho ga
pidar ke goud me 6 mah ke mustaro laghar
bojhany piyas jab maidan me pohncy Ali Asghar as
tabasum asy bachy ne kia teray sitam kha kar x2
falaq ne asa manzar dahar me dakha kaha ho ga
Qayamat ka sama ho ga
wo ghazi as bhar ke mashkiza jo darya say chaly hon gy
sitam ke teer mashkizay ki janib chal rahy hon gy
nahi maloom kis alam me wo bazo katy hon gy x2
madad ko aye mola as ye har zuban ho ga
Qayamat ka sama ho ga
saada hal min ki dy ke a gaye shabir as maidan me
chaly mazloom per charo taraf say teer maidan me
giray ghooray say sajday me shah e dil geer maidan me x2
jo insan ho wo roye ga jab ye kisa biyan ho ga
Qayamat ka sama ho ga
kulo e shah pay shamsheer jis dam chal rahi ho gi
dare khamay say zainab sa sab ye manzar ye dakhti ho gi
zanab e fatima zahra sa ki turbat hil gai ho gi x2
abad tk ye quran sar e nok e sina ho ga
Qayamat ka sama ho ga
Comment