Ailan Ailan Imam Kay Zahoor Ka Ailan
Hussainio Yeh Aza Hai Payam E Baidari
Isi Payam Ka Mehwar Hai Yeh Azadari
Nahi Yeh Khaof Keh Duniya Mein Zulm Hai Jari
Imam E Asar Mitayen Gay Zulmaten Sari
Ya Aiyo Hannas Eilan Ho Raha Hai Eilan Ho Raha Hai
Farzand E Mustafa Ibne Haider Lakht E Jigar E Fatima Zahra
Yabna Al Hasan Yabnal Hussain Imam E Zamaan Ky Zahoor Ka
Ailan Honay Wala Hay
Utho Utho Utho Utho Utho Utho
Utho Utho Utho Utho Utho Zahoor Ka Ailan Honay Wala Hay
Utho Utho Utho Utho Utho Zahoor Ka Ailan Honay Wala Hay
Keh Ab Nijaat Ka Samaan Honay Wala Hay
Utho Utho Utho Utho Utho Zahoor Ka Ailan Honay Wala Hay
Zahoor Ho Ga To Amar E Khuda Ko Samjhen Gay
Zahoor Ho Ga To Raaz E Baqa To Samjhen Gay
Zahoor Ho Ga To Sabr O Riza Ko Samjhen Gay
Zahoor Ho Ga To Hum Karbala Ko Samjhen Gay
Utho Utho Utho Utho
Mizaj E Zulm Pareshan Honay Wala Hay
Keh Ab Nijaat Ka Samaan Honay Wala Hay
Utho Utho Utho Utho Zahoor Ka Ailan Honay Wala Hay
Jo Admi Kay Masayeb Hain Us Ka Kya Ho Bayan
Fasaad O Jaor Ki Zad Par Hai Aaj Sara Jahan
Koi To Ho Ga Jo Dy Ga Hidayaton Ki Azaan
Imam Hukm E Khuda Sy Qadam Rakhen Gay Yahan
Utho Utho Utho Utho
Khuda Ka Hum Py Yeh Ehsan Honay Wala Hai
Keh Ab Nijaat Ka Samaan Honay Wala Hay
Utho Utho Utho Utho Zahoor Ka Ailan Honay Wala Hay
Zahoor Ho Ga To Dekhey Ga Is Ko Sara Jahan
Farogh Payen Gay Ayat E Kibriya Bhi Yahan
Nishaniyan Meray Khaliq Ki Hon Gi Sab Py Ayaan
Khuda Ki Neymaten Jhutla Na Paye Ga Insan
Utho Utho Utho Utho
Nifaaz E Surah E Rehman Honay Wala Hai
Keh Ab Nijaat Ka Samaan Honay Wala Hay
Utho Utho Utho Utho Zahoor Ka Ailan Honay Wala Hay
Zahoor E Mehdi E Doran Mitaye Ga Har Dagh
Banen Gay Raakh Ka Ek Dhair Jabiron Ky Dimagh
Yahan Rakhen Gay Khuda Ki Nishaniyon Ki Jo Baat
Har Ek Dil Mein Jalen Gay Phir Ayaton Ky Charagh
Utho Utho Utho Utho
Har Aik Hamil E Quran Honay Wala Hai
Keh Ab Nijaat Ka Samaan Honay Wala Hay
Utho Utho Utho Utho Zahoor Ka Ailan Honay Wala Hay
Zahoor E Qayem E Akhir Kary Ga Hum Py Karam
Jinhon Ny Nusrat E Haq Ko Diya Hai Apna Hasham
Woh Jin Ky Hath Mein Hai Rooh E Karbala Ka Alam
Barhen Gay Haq Ki Taraf Dariyon Mein Un Ky Qadam
Utho Utho Utho Utho
Keh Ab Bhi Hurr Koi Mehman Honay Wala Hai
Keh Ab Nijaat Ka Samaan Honay Wala Hay
Utho Utho Utho Utho Zahoor Ka Ailan Honay Wala Hay
Zahoor Ho Ga To Dekhy Ga Yeh Jahan E Jafa
Hathaliyon Py Liye Sar Barhen Gay Ahl E Wafa
Hazar Zakhm Yun Dil Par Banam E Farsh E Aza
Zuban Py Ho Ga Magar La Ilaha Illa Allah
Utho Utho Utho Utho
Yeh Marhala Bahut Aasan Honay Wala Hay
Keh Ab Nijaat Ka Samaan Honay Wala Hay
Utho Utho Utho Utho Zahoor Ka Ailan Honay Wala Hay
Sajay Ga Arsh Py Naam E Hussain Ibne Ali
Dilon Mein Ho Ga Qayam E Hussain Ibne Ali
Suny Gi Rooh Kalam E Hussain Ibne Ali
Likhy Ga Waqt Payam E Hussain Ibne Ali
Utho Utho Utho Utho
Hussainiyat Ka Ab Irfan Honay Wala Hai
Keh Ab Nijaat Ka Samaan Honay Wala Hay
Utho Utho Utho Utho Zahoor Ka Ailan Honay Wala Hay
Hilal Waqt Ka Lehja Hai Aaj Ka Noha
Jo Chahtay Ho Keh Is Mein Sajaye Rooh E Aza
To Chashm E Tarr Mein Basa Do Hussainiyat Ki Baqa
In Ansoo’on Sy Banay Ga Mizaj E Karbobala
Utho Utho Utho Utho
Yeh Dard Waqt Ki Pehchan Honay Wala Hai
Keh Ab Nijaat Ka Samaan Honay Wala Hay
Utho Utho Utho Utho Zahoor Ka Ailan Honay Wala Hay
Comment