Maa pareshan hai Kitni hairaan
hai Kitni hairaan hai maa pareshan hai
Laal reh jayega tanha mere abbas ke baad
Mere abbas ke baad Bain karti hai ye zehra
mere Abbas ke baad Laal reh jayega tanha
mere abbas ke baad Mere abbas ke
baad Har tarf teer o tabar or ye khanjer
bhale Chaar sou hunge faqat zulm hi karne
wale Kon imdad krega mere abbas ke baad Laal reh…….
Hal e dil kis se kahe kon mera hai ya rab
Qatal krte hain mere laal ko Adaa be sabab
Zulm ab dhate hain adaa mere Abbas ke baad Laal reh……
Laal ne zakhm ye khayen hain isi maqatl me
Har sitam is ne uthaye hain isi maqatl me
Konsa paya na sadma mere abbas ke baad Laal reh…….
Haye qasim ali akber na rhe na asghar Kisko
imdad ko apni ye bolaye muztar Hoga
shabbeer akela mere abbas ke baad Laal reh……….
Hoke do zano shahe jinn o bashar beth gaye
Keh ke maqatal me haaye lash e pisar beth gaye
Amma guzri hai bhala kiya mere abbas ke baad Laal reh……..
Pusht e garadan pe kahin chalta hai khanjar dekho
Kese ye kund bhala krta hai khanjar dekho Keh
ke rone lagi zehra mere abbas ke baad Laal reh……..
Kese hoti hai musibat aye falak dekh tu le Jiska
gehwara hilate the malak dekh tu le Ran me kehta nhi
aqa mere abbas ke baad Laal reh…….
Teer pewand hain itne ke nikalun kese Koi batla
de kaleje se nikalu kese Fatima karti hai nuha mere
Abbas ke baad Laal reh…….
Jalti reti pe pada reh gaya lasha uska Shamas
Aamir ye baya’n fatima zehra ne kiya Kese utthega
janazah mere abbas ke baad Laal reh jayega tanha mere abbas ke baad.
Comment