Nohay 2020 | ZAINAB HAI TERE SAATH | Hashim Sisters | New Noha 2020 /1442 | New Imam Hussain Noha

Aey Meray Waqt kay Imam x2 
Sajjad na ghabra ke ye hai manzil e dushwaar 
Qurbaan phupi tujhpay mere laaghir o beemaar 
Aey Meray Waqt kay Imam (longer one) x2 

Zainab Hai Teray Saath, Zainab Hai Teray Saath 

1) Shabbir ke laashe se nigahon ko hata le 
Gham dil me chhupa le 
Kuchh der ko seene se yateemon ko laga le 
Marne se bacha le 
Ab tere siwa inka nahi koi madadgaar 
Chorus 

2) Ab tere siwa kon hai duniya me hamara 
Tu hi hai sahara 
Sajjad kabhi khud ko tu tanha na samajhna 
Mayoos na hona 
Har gaam pe saaye ki tarha ey mere beemaar 
Chorus 

3) Khaane hain tujhe shaam talak kode pe kode 
Har aik laein ke 
Wallah ke dekha nahi jayega ye mujhse 
Par doongi dilaase 
Ghabrana nahi hai jo sitam dhayen jafakaar 
Chorus 

4) Kuchh der me dhayega sitam shimr e sitamgar 
Lut jayega ye ghar 
Dekhoge mujhe nargha e aada me khule sar 
Chhin jayegi chadar 
Allah kare kher qayamat ke hain aasaar 
Chorus 

5) Lab haaye shahe dee’n pa chhadi maarne wala 
Dushman hai hamara 
Wallah qayamat se nahi kam ye nazara 
Lekin mere beta 
Khutbon se ulatna hai hame shaam ka darbaar 
Chorus 

6) Zindaa’n ke andheron me na mar jaye hazeena 
Darti hai sakina 
Kis tarha bhala isko main le jaon madina 
Dushwar hai jeena 
Phat ta hai jigar mera jo dikhlaati hai rukhsaar 
Chorus 

7) Jis waqt qadam shaam ke darbaar me rakkha 
Sajjad ko dekha 
Aankhon se rawaa’n khoon tha aur zard tha chehra 
Dushwar tha jeena 
Zenab ne sada di ke sanbhal ey mere jarrar 
Chorus 

8) Asif hon raqam kaise aseeraan ke naale 
Koi to sanbhaale 
Pabande rasan ho gaye sab nazon ke paale 
Paon me hain chhale 
Dauraan e safar kahti thi maham ye dilafgaar 
Chorus 

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *