Nohay 2019 | Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai | Mir Hasan Mir New Noha 2019 | Shahadat e Mola Sajjad Noha

 

Haye Sajjad (as) Haye Sajjad (as)
 
Abid Ko Jahan Ghash Ata Hai
Durro’n Say Jagaya Jata Hai
 
Ek Phool Hai Jis Ko Kanto’n Par
Din Raat Chalaya Jata Hai
 
Abbas Ki Ghairat Say Aksar Abid Ki Aseeri Pochti Hai
Kiya Chaar Baras Ki Behna Ko Zinda Main Sulaya Jata Hai
 
Saadat Kay Khaimay Jaltay Hain Sholo’n Main Ghiri Hai Ale Nabi
Phir Aj Nabi Ki Beti Par Darwaza Giraya Jata Hai
 
Reh Reh Kay Shah e Deen Daikhtay Hai Naizay Say Sakina Ki Janib
Lagat Hai Pusht e Naqa Say Bachi Ko Giraya Jata Hai
 
Bibi Ko Qareeb Lash e Jari Durro’n Ko Izziyat Daitay Hai
Abbas Ko Tarpanay Kay Liye Zainab Ko Sataya Jata Hai
 
Ghairat Kay Sabab Jis Bibi Nay Ghar Main Bhi Na Daikha Aaina
Baiparda Usay Lanay Kay Liye Darbar Sajaya Jata Hai
 
Bin Biyah Kay Akber Maraigaye Arman Na Niklai Bano Gai
Taboot Pay Akbar Kay Sehra Kuch Yun Bhi Charaya Jata Hai
 
Woh Nok e Sina Pay Ghairat Say Rukta Hi Nahi Gir Jata Hai
Arey Jab Jab Bhi Sar e Abbas e Jari Naizay Pay Charaya Jata Hai
 
Parday Main Bilal e Karbobala Roye Na Maira Mola Kyun Kar
Afsoos Kay Turbat Main Ab Tak Zehra Ko Rulaya Jata Hai

Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *